اسلام

Aag Me Phoonkna

1. khwab me aag me phoonkana fitane me mubtala hone ki taraf ishaarah hota hai.

2. Zameen me phoonkana raaz ke faash hone ya ese shakhas ko raaz-daan banaane ki alaamat hai jo raazo ko chhupa nahi sakta hai.

3. Khwab me apni biwi ki sharm gaah me phoonkana biwi ki haamala hone ki alaamat hai.

4. Khana pakaane ki arz se aag me phoonkana kisi munf-at ke liye kaam ko tarakki dene ki alaamat hai.

5. Agar kisi garz ke liye na ho to ye gam pahuchane ki taraf ishaarah hota hai.

6. Saleha ke liye khwab me soor ko phoonkana nizaat ki daleel hai.

7. Aur soor phoonkane ki aawaz ko sunna darrawani khabare sunne ki alaamat hai.

8. Sirf sahab-e-khwab ka sunna ishaarah hai esi khabar ke sirf uske sath mut-alik hone ki.

9. Agar dekhe ke saare log usko sun rahe hai to daleel hai – saare log us khabar se pareshan honge.

1. khwab me aag par koi cheez pakaane ki tabeer muraad ko paalena hai bashar teka pakaayi huwi cheez pak gayi ho.

2. Aur jisne dekha ke us ne aag par koi cheez pakaayi aur wah cheez pak gayi to beshak wah apne amraad ko paalega aur jubaaan jad khaas wa aam hoga.

3. Agar wah cheez nahi paki to apne muraad ko nahi paayega – pakaane ki tabeer naf-a bakhash kaam ka harkat me aa jaana hai – aur agar pakaayi gayi cheez pak gayi to ye daleel hai ke usko rizk haasil hoga.

4. Aur jis ne kachchi sharaab pakaayi to ye daleel hai ke usko koi mu-aamala paish aayega siwaaye iske ki agar wah pak jaaye aur chullu bhar ke pile aur khale.

5. Tamaam khane wali cheeze rizk ki daleel hai siwaaye har halwah numa khane ke.

6. Agar paki huwi cheez bakari ka gausht ho to ye alaamat hai achhi zindagi ki sharafat wa izzat ke saath jo haal tarike se nasib hogi.

7. Aur agar gaaye ka gausht hoto ue achhi zindagi wa munf-at wale aalmin ki taraf se haasil hone ki alaamat hai.

8. Agar wah kisi darinde ka gausht khaya to daleel hai ke wah zaalim kaum par khauf aur naa-pasandegi ke sath hukumat karega.

9. Aur agar wah kutte ka gausht khata hai to daleel hai ke usko gatiya hukumat haashil hogi.

10. Agar iske sath chiknaayi bhi hoto ye maal-e-haraam milne ki daleel hai.

11. Agar charbi nahi thi to fiqar aur mehrumi ke sath gatiya kamaayi haasil hogi.

12. Aur agar wah kisi parindeh ka ka gausht tha to ye daleel hai ke usko hukumat haasil hogi ya izzat wale logo ke sath tizarat karega ya kasab halaal karega.

13. Agar wah cheez phaad kar khane wala parindeh ka gausht khata hai to ye daleel hai ke wah tizarat karega ya usko hukumat haasil hogi.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!