اسلام

khwab mein chakor dekhna

Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main chakor khubsoorat aurat ya bajamal kaneez hai agar khwab main dekhe ki us ne chakor ko pakda hai daleel hia ki aurat karega aur agar us ko kisi ne chakor bakhshi hai daleel hai ki us ko khubsoorat aurat karayenge aur agar dekhe ki chakor ka shikaar kiya hai daleel hai ki khubsoorat kaneez haasil karega aur agar dekhe ki chakor ka gosht khaya hai daleel hai ki us ko naya libaas haasil hoga.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ne chakor ka gala kaata hai daleel hai ki kaneez ka kunwarapan todega.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki nar chakor farzand hai aur maada chakor aurat aur namuwafiq kaneez hai aur agar khwab main dekhe ki chakor us ke saath se udi hai daleel hai ki aurat ko talaaq dega ya us ki kaneez bhagegi.

hazrat jaafar saadiq rahamtullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main chakor ka dekhna chaar wajah par hai 1. ladka 2. dost 3. pur sitaar 4. dil ka matlab aur muraad.

1. khwab main chakor muhabbat na karne wali haseen aurat hai use pakdna haseen aurat se shaadi karna hai baaz hazraat farmate hain ki chakor ka gosht libaas hai.

2. jis shakhs ko mujakkar chakor mila toh us ke ghar bahut zyadah muhabbat wala mubarak ladka paida hoga jis ke sabab us ki aankhein thandi hogi.

3. agar moanas chakor mile toh use bewafa khubsoorat aurat milegi.

4. agar us ki beewi haamila thi toh us ke ghar nafarmaan ladki paida hogi khwab main chakor ko zibah karna londi se juda hona hai chakor ko qaid karna beeewi ko baatein sikhana hai bahut se chakor aurton par dalaalat karte hain chakor behuda haseena ki daleel hai.

5. khwab main chakor pakdna haseena aurat se shaadi karne ki alaamat hai.

6. agar kisi ne khwab main bahut se chakor shikaar kiye toh badshah ke humnesheenon ki taraf se bahut saa maal daulat payega aur bahut se chakor aurtein ahin aur chakor ki ruiyyat hunsmukh logon ki ruiyyat par bhi dalaalat karti hai.

7. agar kisi ne khwab main chakor ka gosht khaya toh daleel hai ki woh libaas payega.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!