اسلام
khwab mein eid ul azha dekhna
1. khwab main eid ul azhaa gujishta khushi ke lotne aur halakat se nizaat paane ki naveed hai. kyu ki is din azrat ismail alayehi salam ko ziba hone se khalasi hui thi.
2. khud ko eidul fitr mai dekhna gamo se nizaat,aasaani,masrat ka hasul aur toba ki kabuliyat hai.agar sahibe khwab ke maal mai khasara hua ho toh allah taala use uska aiwaz ata farma denge. khwab mai eid ul azhaa mai dekhna ke liye aazadi,kedi ke liye chhutkara aur makruz ke liye adaye karz hai.khwab mai eid dekhna farhast va masrat hai, roze eid mai apani gam shuda chiz dekhna is chiz ke liye milne ka ishara hai, eid maishat mai wasat aur nafqa ki kashrat ki alaamat hai.