اسلام

khwab mein Jozbawa (gozboya)

Hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya ke khwab me gozboya deen ki salaah aur ilm shariya ka jaanana hai. Agar dekhe ke usne gozboya khaya hai- daleel hai ke sahib-e-khwab maslahat deen ki raah ikhtiyar karega aur shariyat sikhega.

Hazarat ibrahim karmani rehmatullah aleh ne farmaya hai agar dekhe uske paas gozboya bahut hai khata hai aur logo ko deta hai- deleel hai ki ilm aur hikmat me yaganah hoga aur us se dusro ko fayadah pahuchega.

Aur agar dekhe ke us ke paas gozboya hai aur us me se kisi ko nahi diya hai- daleel hai ke us ke ilm se na usko aur na dusro ko naf-a pahuchega’ aur ba-aj kahte hai ke gozboya ka khana ilm nazum par deleel hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!