اسلام

khwab mein Kaah (bhoosah ghaas phoos) dekhna

Kaah (bhoosah ghaas phoos)

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki bhoosah khwab main bahut saa maal aur nemat hai khaas kar agar gaihun ka bhoosah hai aur agar dekhe ki us ke paas bahut saa ghaas hai aur ghar main liye jaata hai daleel hai ki halaal ka maal aur nemat bahut haasil karega aur agar dekhe ki jau ki bhoosi hai toh gujishta mafaad kam haasil honge.

hazrat hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki aag ghaas ke dhair main lag gai hai aur woh ghaas jal gaya hai daleel hai ki badshah us par taawaan daalega aur us se maal milega aur agar dekhe ki chaupaye us ke ghaas khaate hain daleel hai ki koshish se apna maal zaaya karega.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main ghaas dekhna teen wajah par hai 1. maale halaal 2. kasabe maashiyat 3. dil ki muraad aur khushi.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!