اسلام
khwab mein Kotwaal dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki kotwaal ke saath log hain daleel hai ki us ko khair o munafaat haasil hogi aur agar us ke khilaaf dekhe toh sharaarat aur nuqsaan par daleel hai aur agar dekhe ki kotwaal ne us ko pakda hai aur nuqsaan pahunchaya hai daleel hai ki badshah ke mulazimon se ranj uthaeyga aur agar dekhe ki us ko kotwaal se malaamat nahin pahunchti hai toh khair aur neki par daleel hai.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki kotwaal ne us ke pakde utaare hain ya us ko qaid khane main daala hai daleel hai ki sahibe khwab ko badshah ke aadmiyon se nuqsaan pahunchega aur be hurmati dekhega aur agar khwab main dekhe ki woh kotwaal ke paas se bhaag gaya hai aur koi usko nahin pakad saka hai daleel hai ki usko thoda ranj pahunchega.