اسلام
khwab me annab angur dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ke paas anaab hain aur un ko khaya hai daleel hai ki usi qadar maal haasil karega aur agar dekhe ki us ne kisi ko annab diye hain daleel hai ki us se us shakhs ko maal pahunchega.
hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki darakht se annab jamaa karta hai daleel hai ki usi qadar maal ko ranj aur takleef se haasil karega.
annab
1. khwab main annab ki taabeer shareef, nafaa mand, saltanat aur sarwar ka mulk skhakhs hai, jo ki masaaib main saabit qadam rahta hai.
2. khwab main annab chusna, wilaayat ka hasool hai ki allah taala farmate hain “kiya jis ne banadi tumhare liye sabz rarakht se aag” baaz mufassireen ne farmaya hai ki us se annab ka darakht hi muraad hai. khwab main aag se muraad saltanat hota hai.
3. be mausmi annab dekhna haadsaat aur masaaib ke khatre ki alaamat hai.
4. annab ke darakht se muraad kamil ul aql, khubsoorat aadmi muraad hai kabhi annab se muraad aurat ki mahandi se rangi hui anguliya hoti hain.