اسلام
khwab mein Koyla dekhna
1. khwab main koila ka darakht khatarnak aadmi par dalaalat karta hai baaz ulmae taabeer ke nazdeek khwab main koila ki taabeer maale haraam hoti hai jabki baaz hazraat ke nazdeek badshah ki taraf se haasil hone wale rizaq ki taraf ishara hota hai.
2. khwab main ayesa koila dekhna jis main aag ka asar bhi ho aazmaish main mubtala ayese aadmi par dalaalat karta hai jis par badshah ne zulm bhi kiya ho aur us ka maal bhi chhin liya ho.
3. jala hua koila jis se faaida na uthaya ja sakta ho ya raakh ki tarah ka ho toh baatil amar par dalaalat karta hai.
4. khwab main bada koila dekhna jabki us ko chhote karne ki zaroorat ho pareshani thakawat aur ahwaal ki tabdeeli par dalaalat karta hai.
5. khwab main chhota koila jabki ahtiyaj bade koila ki ho maal ki kami ki daleel hai basa awqaat khwab main koila garam tabiyat ke sar uthane par daal hota hai sardiyon ke zamane main koila dekhne ki taabeer maal ke saath bhi ki jaati hai.
6. agar koi kisi aadmi ko dekhe ki us ne sahibe khwab ko ghulam hadiya main diya toh woh us ko buri ki gon hadiya main dega baaz ke nazdeek aag main jalai jaane wali har cheez fasaq ki daleel hoti hai.