اسلام

khwab mein Kapron Ka Sabza dekhna


1. khwab main sabz kapdon ki taabeer bahut achhi hai is liye ki sabz libas jannatiyon ka libas hai.

2. khwab main zinda shakhs ka sabz libas main mablus hona uski deeni quwat aur ziyadate ibadat par dalaalat karta hai aur murde ko sabz libas main mablus dekhna andallah uski haalat ki bahtari ki daleel hai.

3. kabhi sabz libas pahnna meeras milne ki taraf bhi ishara hota hai.

4. kabhi mayyat ko sabz libas main bamlus dekhna uski shahadat ki maut marne par dalaalat karta hai.

5. sabz rang ke tamaam kapdon ki taabeer matadil hai yaani bari aur na achhi.

6. resham ke sabz hone ki taabeer mard aurat ke liye yaksa hai.

7. khane wali tamaam ashiya maslan gandam, jau, tail, chawal, lobiya waghaira sab ki dalaalat islaam par hoti hai.

8. khwab main kisi ayesi zameen ka maalik banna jis main sabz hi sabza hai toh ye bhi islam se musharraf hone ki alaamat hai.

9. khwab main surkh kapde haasil karna deendar wa mutqqi hone ki alaamat hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!