Zahaar (naaf ke neeche baalon ki ki jagah)
hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki us ke mue zahaar nahin hain daleel hai ki us ka kaam ruk jaega aur agar dekhe ki us ki naaf ke neeche beemari ya dard hai daleel hai ki ranj ke mutabiq sahibe khwab ko zahmat hogi.
hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki zair naaf ka khwab main dekhna dau wajah par hai. 1. aurat 2. maal aur jo kami beshi zair naaf mai hogi us ki taaweel aurat aur us ke maal par ruju karti hai.
zahar (beewee se zahaar karna)
1. khwab main beewee se zahaar karna maujood takleef aur raazon ke zaahir hone ki daleel hai.
2. kabhi beewee ke saath zahaar karna qasam khane par dalaalat karta hai. aur kabhi dabar mai dilchaspi lene ki taraf ishaara hota hai aur kabhi us ki dalaalat medaane jang se bhagne aur kabhi aurton ke saath dabar main jamaa karne par hoti hai.