khwab mein Wali (Saalihoon) ka dekhna

1. khwab main allah taala ke waliyon main se kisi wali ko dekhna sunnat ko zinda karne ki basharat hai. saaliheen apne sahibe khwab ke liye nasih hain aur mubarak hain, khwah woh maaruf hon ya majhool.

2. jis shakhs ne dekha ki woh maaruf salih main se ho gaya hai toh daleel hai ki woh un ke tareeqe ki perwi karega. un ki jamaat main shareek hoga. neez un saliha ki manzilat ke muwafiq use shar, fiqra o gham, aur duniya se wahshat hogi. phir aakhirn kaar apne dushmano par kamiyabi par kamiyabi palega.

3. jis shakhs ne dekha ki faut shuda saliha se koi ek kisi shahar main hai toh daleel hai ki us shahar wale shadabi, farhat o adal paege aur un ke saradar ki haalat bahtar hogi.
Exit mobile version