Hazrat usman radi allahu anhu
1. aap radi allahu anhu ko khwab main dekhna ilm ki jaanib tawajjo aur us ki jamaa main lag jaane, aaza ki hifaazat, khilafat imarat aur amaanat ke saath allah taala ki ibadat karne ki daleel hai. kabhi aap ki ruiyyat sahibe khwab par dushmanon ke huzum, unki kamiyabi aur us ki shahadat ki daleel hai kabhi us se mansab, rizaq kaseer aur akaabreen ki daamaadi ki taraf ishara hota hai. kyon ki aap radi allah taala anhu zul noorein yake bad deegare aan hazrat sallahu alayehi wasallam ki dau betiyon ke shohar the. aap radi allahu taala ka zinda dekhna deen dari, maal o nafs ke saath jihaad, hifz quraan aur dushmaon se hifaazat hai. apne ghar main aap radi allah taala anhu ko maqtool dekhna aale nabi sallallahu alayehi wasallam par sab o shitam aur unki jaanib milaan na hone ki daleel hai. aap ko shahar ya bazaar main dekhna shohda aur saleheen ke saath hashar aur husule ilm ki daleel hai. aap radi allah taala anhu ko apne ghar main mahsoor dekhna kisi badhe aalim par zulm ka ishaara hai. agar koi shakhs dekhe ki us ki shakal o soorat aur libas aap radi allah taala anhu jesa hai toh agar badshah hai toh us ki riaya use qatal karegi. agar aalim hai toh us ke saath dhoka hoga aur log use dhoka dene ke sabab gunah main mubtala honge. aap radi allah taala anhu ko apna saathi dekhna ya un ke saath ikhtta rahna talwara qaid ke sabab ya kisi khabees ul baatin aadmi ke zariye museebat ka ishara hai. albtta museebat ke baad sahibe khwab ka anjaam yaqeenan achha hoga. aap radi allah anhu ko zinda dekhna haya aur us ke saath kaseer hasideen ki daleel hai.