khwab mein Uqaab ka dekhna

Khwab main aqaab qawi saltanat aur shakht pakad, ruaab o dabdaba wale aur ayese jhagdalu aadmi ki daleel hai jis se qareebi aur door wale sabhi khaaif hon.

1. agar aqaab ko kisi ghar ki chat par ya sahan main dekhe toh woh malakul maut hai.

2. khwab main aqaab ka hasool kisi quwat wale badshah ka qurb hai.

3. agar us ki mukhalifat ki jaaye toh us se khauf laa huq rahe.

4. aqaab ke pur bahadur bete ki daleel hain jo badshah ka qurb haasil karega.

5. agar dekhe ki aqaab ne use chaunch se maara hai toh us par shadeed aafat naazil hogi aur us ke muhalle daaron ko bhi museebat laa huq hogi.

6. khwab main aqaab ka gosht khana laalchi aadmi ki alaamat hai.

7. aqaab ki taabeer gandi shoharat ka haasil ayesa badshah bhi hai jis ke haathon bahut se badshah tabah hote hon. aqaab ko darakht par betha dekhna barkat, kheriyat aur nemat ki daleel hai.

8. agar aqaab ko seedha udhata dekhe toh tamaam dushmanon par kamiyabi aur tamaam zarooraton ka pura hona muraad hai.

9. aqaab ko kisi anjaam se darne wale ke liye achha nahin hai.

10. agar dekhe ki aqaab us ke sar par gira hai toh us ki maut ki daleel hai.

11. aqaab par sawar hona buland badshahon aur maldaaron ke liye maut jabki gareebon ke liye neez ki daleel hai ki woh maaldar baneinge kaseer munafaa haasil honge.

12. agar musaafir ye khwab dekhe toh safar se wapasi ki daleel hai.

13. agar dekhe ki aqaab use dara raha hai toh koi bada aadmi use darayega.

14. agar dekhe ki aqaab qareeb aakar use koi cheez de raha hai aur usse ayesi baatein kar raha hai jo bakhubi samajh main aa rahi hain toh kher o munafaat ki daleel hai.

15. agar dekhe aurat ne aqaab jana hai toh uske haan ayesa beta paida hoga jo sachcha hai aur apni qaum ka bada raees ya phir badshah banega.

16. agar ghulam murdah aqaab dekhe toh us ke aaqa ki wafaat ki daleel hai.

17. agar dekhe ki aqaab ne us ki aantein apni chaunch se baahar nikal dein toh us ke haan mashoor aur qabil taareef beta paida hoga.

18. chaur aur dhoka baaz agar khwab main aqaab dekhe toh un ki pakad muraad hai.

19. agar dekhe ki aqaab ne use uthaya aur arzan use le utha toh us ki sharafat ya lambe safar karne ki alaamat hai.

20. khwab main aqaab se ladna badshah ya badshah ke musahbeen se ladna hai.

21. khwab main aqaab ko dekhna jang main ladne wale ke liye nusrat aur dushman par kamiyabi hai. is liye ki huzur sallallahu alayehi wasallam ke jhande par aqaab bana hua tha.

22. kabhi us se muraad maale kaseer ya ladaai bhi hoti hai.
Exit mobile version