1. agar ghulam khwab main khud ko bayetullah ka tawaaf karta dekhe toh daleel hai ki woh aazaad hoga, aur gunahgar ka ye khwab dekhna gunah ke azaab se bachne ki daleel hai aur ghair shaadi shuda ke liye ye khwab shaadi ki alaamat hai aur aage taraqqi karne ki salahiyat rakhne wale ke liye taraqqi karne aur buland martaba paane ki daleel hai kabhi tawaaf karna anpi nazar ko pura karne par dalaalat karta hai laqaule taala “aur chahiye ki woh apni nazron ko pura karen aur kaabe ka tawaaf karen.”
2. kisi ne khwab dekha goya us ne haj kiya aur tawaaf kiya toh ye uske deen ki taraf durustgi aur deen par istaqamat aur us par allah ki taraf se ajar milne, khauf se manoon hone aur qarz ki adaaigi ki alaamat hai aur musalmanon ki amaanaton ki adaaigi ki bhi daleel hai. usi tarah tawaaf kabhi qasam ka kaffara adaa karne ya nazar ko pura karne par bhi dalaalat karta hai kabhi tawaafe betullah karna kisi shareef hukumran ke maamle main shaamil hone ki taraf bhi ishara hota hai.