khwab mein Tasht (badi thali) dekhna

Tasht

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki tasht khwab main khadima aurat hai.

hazrat muhammad bin seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki tasht khwab main ayesi kaneez hai ki jis ke supurd ghar ki zarooriyat hoti hain agar dekhe ki us ke paas tasht hai ya kisi ne us ko diya hai ya us ne khareeda hai toh daleel hai ki ghar main khadima aurat laayega ya kaneez kharega aur agar dekhe ki tasht toota hai ya zaaya ho gaya hai toh daleel hai ki us ki kaneez bhagegi ya duniya se rahlat karegi.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar koi khwab main dekhe ki us ne tahst khareeda hai toh daleel hai ki khadim aurat ko ya kaneez ko apni aurat banayega.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki ki khwab main tahst ka dekhna teen wajah par hai. awwal khadima, duwwam kaneez, suwwam aurton se nifaa haasil karna.
Exit mobile version