Khwab main taoon dekhne ki taabeer khaarish hai.
1. jis shakhs ne khwab main dekha ki use taoon laa huq ho gaya hai toh us shakhs ko khaarihs laa huq hogi.
2. aur jis shakhs ne dekha ki use khaarish ho gai hai toh us ki taabeer ye hai ki us ko taoon laa huq hoga.
3. agar dekhe ki shahar main taoon phel gaya hai toh daleel hai ki badshah ka qahar nazil hoga. aur baaz martaba us ki taabeer qabar ya harab ya bidaat hoti hai chunki ye bhi mojaab halaakat o maut hain.; aur baaz martaba us ki taabeer safar ya badshah ki taraf se taawaan hai. jis shakhs ne dekha ki shahar main taoon phel gaya hai toh alaamat hai ki shahar main ladhai hogi.