khwab mein Tala dekhna


1. khwab main taala azaab main mubtala aur badhaal ajeer ki alaamat hai.

2. apna darwaza taala laga dekhna deenwi aatbaar se mazboot hone ki daleel hai.

3. agar use taala na laga hua ho toh us ka deenwi maamla mazboot nahin hai.

4. agar dekhe ki woh apne ghar ka darwaza band karna chahta hai magar woh band nahin hota hai toh woh kisi ayese kaam se rukega jo us ke bas ka nahin hai.

5. agar dekhe ki us ne taala laga hua darwaza khol liya hai toh woh kisi qila par naqab lagayega ya us ko fatah karega, taala ki taabeer morcha bhi hai, kabhi aulaad ya sust jaanwar ya zawjah par bhi dalaalat karta hai ya khauf se amaan aur dushman se mahfooz hone ki bhi daleel hai taala dekhna sahar o jaado, raazon ka ukhfaa aur tark safar ki malaamat hai.

6. jo apne paas dhaal dekhe toh ye us ki maaldaari ki daleel hai ya phir bachcha ki daleel hai.

taala

1. taale ki taabeer amaanat daari hai.

2. baaz ne kaha hai ki khauf main taala dekhna sahibe khwab ke liye bakarah aurat se shaadi karne ki daleel hai.

3. kisi qaidi ne dekha ki us ne taala khola toh us ka gham door hoga aur us ka maamla aasaan hoga.

4. khwab main taala dekhna hujjat ki aur quwat ki daleel hai.

5. agar kisi ne khwab main taala khola toh sahibe khwab ko ayesi qasam khane se bachna chahiye jis main beewee ki talaaq ho ki agar woh taala khul gaya toh miyan beewee main judaai hogi.

6. taala ayese maatmad aadmi par bhi dalaalat karta hai jis ke paas amaanat rakhi jaati hai.

7. agar kisi ne darwaja ko taala lagaya toh woh kisi aadmi ko kafeel banayega ya us se kafeel ka mutaalba kiya jayega.

8. agar kisi ne taala khol diya toh woh gham se nijaat paega aur kafalat se bari hoga.

9. har band cheez gham ki daleel hai aur har khuli cheez gham se nijaat ki alaamat hai.

10. khwab main dekhna shaadi ke iraada karne wale ke liye amaanatdaar, mad burah aur muhtaaj aurat par dalaalat karta hai.

11. taala dalaalat karta hai muwafiq londi milne par jo londi khareedna chahta hai.

12. safar karne wale ke liye salamati aur nigahbaani par dalaalat karta hai.

13. bahut se lohe ke taale dekhna maamlat ke khulne aur ilm ke darwaje par dalaalat karte hain.

14. lakdi ke taale azwaaj par dalaalat karte hain yaani aazaad aurton aur baandiyon ke nikah par aur aulaad par ilm aur hikmtah par aur mushkil ke aasaan hone par.

15. kabhi taala waada ke pure karne par dalaalat karta hai.

16. taale ghaflat par bhi dalaalat karte hain. jesa ki allah taala ka farman hai ”ya un ke dilon par qafal lag rahe hain”.

17. taala kafeel o zaaman par bhi dalaalat karta hai.

18. kabhi taala izzat o rifaat par bhi dalaalat karta hai. agar woh lakdi wale taalon jesa ho.

19. lakdi ka taala nifaaq ki bhi alaamat hai aur qaul main tardad aur rishwat qabool karne par bhi dalaalat karta hai.
Exit mobile version