khwab mein Takhna dekhna


Hazrat ibn seereen rahamtullah alayeh ne famaya hai ki khwab main takhne ko dekhna muqaam par taaweel hai agar dekhe ki takhna se khelta hai toh tang aur jhagde par daleel hai aur agar dekhe ki us ke bahut se takhne hain toh daleel hai ki usi qadar gham wa andwa uthayega aur agar dekhe ki us ke paaon ka takhna toota hai daleel hai ki us ka farzad marega ya us ko gham pahunchega aur takhnon ki taaweel ladaai jhagda makar aur heela hai.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki takhnon ke saath khelna haqeer aur zaleel dushman aur jhagde par daleel hai.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main takhna paanch wajah par hai 1. muqaam 2. aurat 3. farzand 4. maal 5. guftagu farmane huq taala hai aurtein sab ek umar ki aur chhalakte hue peeyale aur agar halaal gosht wale jaanwar ka apne paas takhna dekhe toh maale halaal par daleel hai aur agar bar aks dekhe toh maale haraam par daleel hai.
Exit mobile version