hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki bedaari ki nisbat khwab main ziyada taaqatwar hua hai toh duniya o aakhirat main us ke ahwaal ki umdagi par daleel hai. basharteeka agar sahibe khwab maslah yaani nekiyon kar hai aur agar woh ahale fasaad main se hai toh us ki taaweel khilaaf hai.
quwwat (taaqat)
1. khwab main kamzori ke baad quwwat aana beemari lambi hone aur ziyada hone ki daleel hai. lekin allah taala se kher aur lambi umar ki ummeed rakhni chahiye.
2. agar kisi ne khwab dekha ki us ki quwwat badh gai hai toh ye uski duniyawi ya deeni quwwat ke badhne ki alaamat hai. aur ye quwwat aamaal par ya duniyawi saamaan par bhi dalaalat karti hai. agar kisi ne dekha ki woh quwi hai toh ye uske zaaf ki daleel hai.