Kokab (sitaara)
us ki taabeer maazaz shakhs ki hai.
1. jis ne sitaaron ko apne ghar main majmua dekha toh us ke ghar main qaum ke sardaaron ka ijtima hoga.
2. agar sitaaron ka jamaa hona roshni ke bager ho toh sardaraan qaum kisi museebat ke silsilye main us ke ghar jamaa honge
3. apne haath main sitaare shareef beta naseeb hone ki naweel hai
4. sataara chauri karna qeemati cheezen chori karne ki daleel hai, aur kabhi dhaal chori karne par bhi dalaalat karta hai.
5. aasmaan se kisi jagah main sitaara girna us jagah main kisi shareef aadmi par koi museebat aane ki daleel hai.
6. apne ghar main bahut saare sitaare dekhna kasarate aulaad ki alaamat hai.
7. saat mashoor sayaaron ko dekhna sanaa, tijaarat aur ilmo saltanat ke hasool ki daleel hai. har ek ki miqdaar ke mutaabiq us ko hissa milega.
8. chamakta hua shahabe saaqib dekhna khushi wa farhat se sarfaraz hone aur logon ke apni zarooriyat ke silsile main us ki taraf matwjjah hone ki basharat hai.
9. jis ne dekha ki aasman se saare sitaare ghayeb ho gaye toh agar ghani hai toh us ka saara maal khatam hoga. agar faqeer hai toh us ka inteqaal hoga.
10. agar badhe badhe sitaaron ko chamakte dekhe toh us ko bhalaye, neki maarfat naseeb hogi.
11. kisi badhe sitaare ko apni jagah se girna us ilaake ke kisi badhe raees ke marne ki daleel hai.
12. agar apne haath main chhote chhote sitaare dekhe toh shoharato quwwat paega.
13. sitaaron ko apne sar ke qareeb dekhna apne humasron se kisi badhe ki khidmat ki bina par foqeeyat le jaane ki daleel hai.
14. agar dekhe ki bahut sitaarei saath ek jagah ho kar chamak rahe hain toh agar musaafir nahin hai toh safar kar ke us se khareed paega aur agar musaafir hai toh apne watan ki taraf musaafir ho kar lotega.
15. agar dekhe ko us ne sitaare par sawaar hua toh badshahat, hukumrani wa quwwat wa kher paega.
16. sitaaron ko ghar ke andar chaton ke neeche dekhna ghar ke barbad hone ya sahibe ghar ke marne ki daleel hai.
17. agar dekhe ki woh sitaaron ko kha raha hai toh woh logon ke maalon ko khayega aur logon ko halaak karega.
18. agar bager chabaye sitaaron ko nigale toh maazaz log us ke maamle aur us ke raazon main dakhil honge aur kabhi ayesa khwab dekhne wala, sahaaba ko gaaliya dega. (naauzu billah min zaalik)
19. sitaaron ko chusna se ilm haasil karne ki daleel hai.
20. kaahan ya falkiyaat par nazar rakhne wala shakhs agar khwab main khud ko sitaare khate dekhe toh ye us ke azeem kaam sar anjaam dene aur haalat ki behtari ki alaamat hai aur un ke alaawa baqi logon ke liye ye khwab daleel maut hai.
21. sitaaron ko bikhertain dekhna badshahon ki maut ki alaamat hai aur ayesi jang par dalaalat karta hai jis main fauz ki ek badhi jamaat hulaak hogi.
22. agar dekhe ki sitaare yake baad deegar gir rahe hain aur agar garam kar khatam ho rahe toh ye ek kasheer qaum ki hulaakat ki daleel hai. badhe badhe sitaare ruiyya ke marne par dalaalat karte hain, aur chhote sitaare kamzoron ke marne par dalaalat karte hain. kabhi tamaam sitaaron ka girna sahibe khawb ke tamaam baal girne aur ganja hone ki taraf ishaara hota hai.
23. khwab main din ko sitaare dekhna sharmindgi, shohrat, badhe badhe haadsaat ronma hone, masayebo aalaam ka shikar hone ki daleel hai.
24. subah ke sitaare shabe zafaaf par dalaalat karte hain.
25. kisi ne apne mahal main khwab dekhe ki sakht andheeri raat main subah ka sitaara tulu hua toh us jagah main dulhan se zafaaf karega.
26. kam roshni wale chhote sitaare ghuaamon, bandiyon aur awaam ulnaas par dalaalat karta hai.
27. khwab main khud ko sitaara bunta dekhna maaldar hohe ki basharat hai.
28. sardiyon par dalaalat karne wale sitaare ghamo takleef par aur garmiyon par dalaalat karne wale kawaakab maasheeyat aur bhalaye par dalaalat karte hain.