khwab mein Shukar Karna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki khuda taala ka shukar karta hai toh us ke deen ki durusti aur quwwat aur martabe aur maal aur donon jahan ki saaadat par daleel hai. farmane huq taala hai “agar tum shukar karoge toh main tum ko zyada dunga.”

jis shakhs ne allah taala ka khwab main shukar adaa kiya us ko fikar se nijaat milegi. aur quwwat aur maal, khushali, aur libas haasil hoga agar ye sakhs waali ho toh khubsoorat aabaad, sar sabz jagah paega aur jo sakhs ye dekhe ki woh allah taala ka shukar adda kar raha hai toh ayesa sakhs mauhad hai. aur ye bhi kaha gaya hai agar woh zimmi hai toh ilsaam qabool karega. agar munafiq hai toh us ka nifaaq door ho jaaega. agar musalman hai toh use azeem ul martaba aadmi ki rifaqat haasil hogi.
Exit mobile version