khwab mein Shikari Ka Jaal dekhna


Shabatah (shikaari ka jaal)

1. khwab main shabka dekhna makar o fareeb, rizaq, ilm aur ummeedon ke bar aane aur dushman par fatahyabi ki daleel hai. agar sahibe khwab jaal ya shikaari ke jaal main jaa padha toh khauf hai ki shaayad use qaid kiya jaayega, ya marz main mubtala ho jaayega, ya gher muwafiq beewee, ya beta ataa ho. ya ayesa maal jis ki wajah se qaid kiya jaayega. jaal dekhna pareshan logon ke huq main shakhti, aur ghulamon ke huq main us baat par dalaalat hai ki unhain bharpur mashakkat ka saamna karna padhega. neez ghulaamon ke saath jin logon ki maasiyat wabasta hai unhain bhi parshaani ka saamna karna padhega. musaafir ke huq main safar se wapis laut aane ki daleel hai. khaas taur par bahri safar karne wale ke huq main jaal, ghamon ki zyadati par bhi dalaalat karta hai. shikaari ke huq main kher o munafaat ka pahlu hai. neez ye khwab us shakhs ke huq main baase kher hai ki jis ki koi cheez kam ho gai ho.
Exit mobile version