Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main sher dushman hai agar dekhe ki sher ke saath jang ki hai daleel ki dushman se jhagdha karega aur jis ko fatah hogi wahi ghalib hoga aur agar dekhe ki sher ke nishan padh gaya hai ki badshah se darega aur agar dekhe ki sher se bhaga hai aur sher us ko talash karta hai daleel hai ki jis se darta hai us se aman main hoga aur agar dekhe ki sher ka gosht khata hai daleel hai ki badshahon se maal haasil karega aur deushman par fatah paega aur sher ka gosht khata badshah se khalaat paana hai.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullal alayeh ne farmaya hai ki khwab main sher badshah hai aur agar dekhe ki sher ke jism se koi cheez pakai hai ya us ko kisi ne di hai aur us ne khai hai daleel hai ki dushman ke maal se kuch khayega aur agar dekhe ki us ne sher se jamaa kiya hai daleel hai ki buri baaton se nijaat paega aur murad ko pahunchega agar dekhe ki us ne sher ko baghal main pakdha hai daleel hai ki dushman se sulah karega aur agar dekhe ki nar sher us se jamaa karta hai daleel hai ki badshah se zillat dekhega aur agar dekhe ki sher us ke peeche se aakar aage nikal gaya hai hai daleel ki us ko badshah se nuqsaan pahunchega.
hazrat daniyal alayeh salaam ne farmaya hai ki agar khwab main dekhe ki us ne sher ka sar paaya hai daleel hai ki badshahi paega aur agar dekhe ki badshah ne us ko sher diya hai daleel hai ki us ko badshahi dega ya apni mulk main se koi wilaayat dega aur dekhe ki sher ke sar par betha hai daleel hai ki us ki daulat aur martaba zyada hoga.
hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main nar sher badshah hai aur khwab main maada sher malika hai aur agar dekhe ki sherni ka doodh nikala hai daleel hai ki badshah ka munshi hoga aur agar budhiya aurat yahi khwab dekhe toh badshah ke farzand ki daaya hogi aur agar dekhe ki sher ko pusht se pakdha hua hai daleel hai ki us par fatah paega aur agar dekhe ki sher ne us ko kaata hai daleel hai ki dushman se nuqsaan uthayega.
hazrat ismaeel ashaas rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki sher ne us ko baghal main pakdha hua hai daleel hai ki badshah ka muqarrab hoga aur agar us ke khilaaf dekhe toh badshah ke gussa par daleel hai aur agar dekhe ki us ne sher ke saath khana khaya hai daleel hai ki badshah ka maatmad hoga lekin khwab main sher ka chamdha aur gosht aur haddi wagera dushman par daleel hai aur agar dekhe ki gosht khaya hai daleel hai ki dushman ko aasaani se qaboo main laayega aur agar us ke khilaaf dekhe toh taaweel bhi khilaaf hai.
hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main sher ka dekhna teen wajah par hai 1. badshah 2. mard diler 3. zabardast duhsman.
alaa sad (sher)
1. khwab main sher dekhna zaalim, fahash go aur ghalib badshah ki alaamat hai.
2. kabhi sher ki ruiyyat maut par bhi dalaalat karti hai is liye ki sher zi ruh ko shikaar karta hai (aur maut bhi zi ruh ko shikaar karti hai).
3. khwab main sherni ki ruiyyat shere be rah aurat ki daleel hai.
4. kabhi khwab main sher dekhna ki taabeer mandarza zail se ki jaati hai. jahaalat, kabar, khud pasandi, shakhi, naaza wagera.
5. kabhi ruiyyate sher ki taabeer adwe maslat se bhi ki jaati hai.
6. agar kisi ne khwab main sher ko dekha aur sher se bhaga lekin sher ne us ko nahin dekha toh taabeer ye hai jis cheez ka khauf hai us se nizaat milegi aur hukumat paega.
7. agar koi khwab main sher apne qareeb ho kar istakbaal karte dekhe toh taabeer ye hai ki us ko badshah ki taraf se koi gham pahunchega aur phir use nijaat mil jaayegi.
8. agar kisi ne dekha ki sher ne us ko pachhadh diya toh ye daai bukhar ki daleel hai is liye ki sher humesha bukhar ki haalat main rahta hai. ya us ki taabeer qaid khana se ki jaati hai.
9. sher se ladhne ki taabeer bhi bukhar se ki jaati hai.
10. agar kis ne dekha ki us ne sher ko gohst ya haddi ya baal main se kuch le liya toh ye badshah ya maslat dushman se kuch milne ki daleel hai.
11. khwab main darinde (sher wagera) par darte hue sawar hone ki taabeer ayesi museebat se ki jaati hai ki jis se aage pichhe hone ka makaan nahin hota.
12. darinde par bila khauf sawar hona dushman ko maghlub karne ki daleel hai.
13. agar kisi ne dekha ki woh bila khauf sher ke saath leta hua hai toh woh marz se manun hoga.
14. agar kisi ne khwab main dekha ki sher kisi ghar main dakhil houa hai agar us ghar main koi mareez ho toh woh mar jaayega, aur agar mareez na ho toh ye badshah ki taraf se khauf aane par dalaalat karta hai.
15. kisi ka khud ko sher ko dekhe bager us se darna dushman se mamun hone ki daleel hai.
16. sher ko apne paas bager mukhalifat ke dekhna badshah ki taraf se ayesa khun pahunche ki daleel hai jo us ke liye nuqsaanda nahin hoga.
17. kabhi sher dekhna maut ya qareebe ajal ki daleel hota hai.
18. sher ko apne ghar main dekhna badshah tak rasai aur daraaz.