Khamaar (sharab saz aur faroosh)
1. khwab main uski ruiyyat talabe ayesh aur uski safai beemareeyon se theek hone ki alaamat hai.
2. kabhi uski dalaalat khud sahibe khwab par bhi hoti hai aur kabhi naapaak ashiyaa maslan khinzeer, bandar aur lahu o luaab ke aalaat farokht karne wale par bhi hoti hai.
3. kabhi sharab ki taabeer maaldar haraam kamane wale mard se ki jaati hai.
4. sharab banane wale aadmi ki dalaalat ayese shakhs par hoti hai jo apne mafaad ke liye logon ko ghalat kamon par ubhaare.