khwab mein Sharaab (pukhta Sharaab) dekhna

Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki sharab ki taaweel maale haraam hai. agar koi khwab main dekhe ki sharab pee kar mast hua hai. daleel hai ki masti ke mutabiq izzat aur martaba paega, aur agar dekhe ki bager sharab piye ke mast hua hai. daleel hai ki us ko badha khud aur dahshat pahunchegi. farmane huq taala hai “aur tu logon ko nasha main dekhega.”

hazrat jaafar maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki sharab mauze se masti peene ke mutabiq maal aur nemat ki kami hai aur agar dekhe ki us ke paas sharab hai aur us ne khwahish se pee hai. daleel hai ki logon se jang aur jhagdha karega, aur agar dekhe ki sharab main ghark hua hai. daleel hai ki jhagdhe main halaak hoga.

hazrat ismaeel ashaat rahmatullah alayeh ne farmaya hai. agar dekhe ki us ne sharab pee hai. daleel hai ki maale haraam se badlega, aur agar dekhe ki sharab paani se mili hui hai. daleel hai ki maal haasil karega ki us ka kuch hissa halaal aur kuch hissa haraam hoga, aur ye bhi kahte hain ki auraton se maal lega. agar dekhe ki sharab farokht karta hai daleel hai ki haraam cheez farokht karega.
Exit mobile version