khwab mein Shalwar (pajama) dekhna

Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main shalwar aazmi kaneez hai ya aurat kameeni hai ki jis se shaadi karega. aur agar dekhe ki nai shalwar khareedi aur pahni hai ki aajmi kaneez khareedega aur agar shalwar pahne hue aurat ko dekhe toh daleel hai ki aurat se ladhega, aur agar dekhe ki us ko kisi ne shalwar bakhsi hai. daleel hai ki us ke khadim zyada honge aur agar dekhe ki us ne nai shalwar pai hai daleel hai ki naya khadim paega. aur agar dekhe ki us ke paas meli shalwar hai daleel hai ki huq taala se azaab paega. farmane huq taala hai “un ke panjame taarkol ke hain aur un ke chahron ko aag ne dhaanp liya hai.” agar dekhe ki us ne surkh shalwar pahni hai daleel hai ki baaizzat aurat paega aur agar dekhe ki us ke paas zard shalwar hai daleel hai ki beemar hoga, aur agar us ke paas sabz shalwar hai daleel hai ki log us ko malaamat karenge aur aurton ke liye rangeen shalwar nek hai. agar aurat dekhe ki us ne nai shalwar kharidi hai daleel hai ki shohar karegi, aur agar dekhe ki us ki shalwar ghum ho gai hai. daleel hai ki us ki kaneez ya khadim bhag jayega, aur agar dekhe ki us ne aurat ki shalwar pahni hai daleel hai ki us ko aurat se zillat pahunchegi.

hazrat jaafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main shalwar teen wajah par

hai. 1. aurat, 2. kaneez, 3. ghar ka naukar.

saraweel (shalwar)

1. us ko khwab main dekhna aajmi aurat par dalaalat karta hai pas jo khwab main nai shalwar ka malik hua toh woh aajmi bakara aurat se shaadi karega aur kaha gaya ki nai shalwar pahunchne wale ki faraz ki afat par dalaalat karti hai.

2. jis ne dekha ki us ki shalwar utri hui hai toh us ki beewee mardon se haya nahin karegi.

3. aur kaha gaya jis ki shalwar utar gai toh us ki beewee mardon ke saamne nahin aayegi.

4. jis ne dekha ki us ki shalwar lagi hai toh us ki beewee haamila hai.

5. jis ne dekha us ne shalwar main qazaye haajatki th woh apni beewee par ghussa hoga, aur us ko uska mahar karega. aur us se jo maal liya hai woh us ko wapid karega.

6. jis ne ulti shalwar pahni toh woh beewee se dabar main jamaa karega.

7. jis ne bagher qameez ke shalwar pahni toh us par faqar ka khatra hai aur kaha gaya ki jis ne shalwar pahni toh woh aazmi ka safar karega is liye ki ye inka libas hai aur kaha gaya ki shalwar pahnna, wale ki shaan ki islaah ki daleel hai aur kaha gaya ki shalwar se muraad koi ghatiya aurat ya koi aajmi bandi hai.

8. agar us ne sirf shalwar khareedi pahne bager toh woh aurat se us ki wali ke bager nikah karega.

9. agar woh shalwar nai ho toh woh bakarah se shaadi karega aur kaha gaya ki us ki faraj maasi aur gunahon se bach jayegi.

10. jis ne dekha ki us ne kisi ko shalwarein din toh us se sakhtiya door hogni is liye ki ye lafz sari weeel hai yaani sakhti aur tangi ki dauri ke maana main mustamaal hota hai.
Exit mobile version