khwab mein Shaitan Dev dekhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki dev khwab main badha dushman aur makaan aur farebi shakhs hai aur agar dekhe ki deb us ko wasvase daalata hai daleel hai ki naalayek baaton se tauba se kare taaki dushman us par kaamyab na ho sakega. farmane huq taala hai “tahqeeq jo log parhezgar hain, jab un ko shaitaani giroh chedh chaadh karta hai toh woh naseehat qabool karte hain aur woh basaarat par hote hain” aur agar dekhe ki shaitaan ke saath ladha hai aur maghloob kar liya hai daleel hai ki us ka deen durust hoga, aur agar us ke khilaaf hai toh zaaf deen ki daleel hai.

shaitaan

1. khwab main shaitaan ko dekhna dushmane deen o duniya, makaan, dhokabaaz, hareez, mukhaalif ki daleel hai jo kisi baat ki koi parwah nahin karta baaz martaba us se muraad koi saahibe imaarat o zair, qaazi, sipaahi faqeeya, waaz ya kafir, munaafiq haasad ya ahal o ayaal hota hai. shaitaan ko khwab main dekhna daleel hai utraahat zyadati, shahoot ki, jesa ki shohrat khud daleel hai zulm o zyadati aur shaitaan ki.

2. jis shakhs ne dekha ki shaitaan ne use bad hawaas kar diya hai toh ishara hai ki woh sudkhor hai.

3. agar dekha ki shaitaan ne use chhuwa hai toh daleel hai ki koi dushman us ki beewee par tohmat lagayega aur bahkayega. agar sahibe khwab mareez tha ya mahjoon tha toh rizaq o shohrat main kifaayat ataa hogi.

4. dekha ki kisi shaitaan ne use chhuwa hai halanki woh khwab main zikra allah bhi kar raha tha ye alaamat hai ki usi shakhs ke dushman bahut saare hai jo use gumrah karna chahata hain aur halaak karna chahte hain magar un kaamon ki woh (dushman) istaat nahin rakhte.

5. jis shakhs ne dekha ki shaitaan us ki itabaa kar raha hai toh daleel hai ki us skhakhs ka dushman un ki itabaa karega, dhoka dega, aur gumrah karega aur us ko us ke mansab, meeras ilmi se giradega.

6. jis shakhsm ne dekha ki woh shaitaan se sargoshi kar raha hai toh us ki taabeer ye hai ki taabeer hai ki raaye apne kisi dushman se sargoshi karega aur magar use us baat ki qudrat na hogi.

7. jis shakhs ne dekha shaitaan use koi cheez sikha raha hai toh daleel hai ki woh logon ko apni baaton ke zareeye sheesha utaarne ki koshish karega ya logon ko dhoka dega ya jhute ashaar padhega.

8. jis shakhs ne dekha ki shaitaan us ke paas aaya hai toh daleel hai ki us shakhs ko jhut aur ghunah ka saamna hoga.

9. jis shakhs ne dekha ki woh shaitaan ka sardar ban gaya hai ya un ka badshah ban betha hai aur woh shaitaan us ki itaat kar rahe hain toh ye shakhs riyaasat , sharaf, hebat, jaah haasil karega. apne dushmanon par ghalib hoga aur woh us ke taabe farman honge.

10. jis shakhs ne dekha ki us ne shaitaan ko qaid kar rakha hai aur jakdh rakha hai toh daleel hai ki us ko madad o nusrat aur achhi shohrat haasil hogi.

11. jis shakhs ne dekha ki shayateen ne use fitne main daal rakha hai aur heeraan o mabhoot kar rakha hai toh us shakhs ko us ka koi maal ya saaman haasil hoga. agar raaye badshah hai toh maazul ho jaayega.

12. agar dekhe ki shaitaan ne us ke kapdhe utaar liye hainj toh ye ishaara hai ki koi dushman us par ghalba paega ya us ko bahayega aur waswasa daalega ya ye shakhs apne auhde se maajul hoga.

13. jis shakhs ne dekha ki woh shaitaan se jhagadh raha hai toh us ki saadiq, momin, allah ka itaat bardaar, aur deen par mazbuti se jam jaane ki daleel hai.

14. jis shakhs ne dekha ki shaitaan ne use ghabrahat main daal diya hai toh daleel hai ki ye shakhs auliya allah main se hai aur chanda hai. allah ne us shakhs ko khauf se aur shaitaan se aman ataa farma diya hai.

15. agar kisi shakhs ne dekha ki shahabe saqib kisi shaitaan ka peecha kar raha hai toh ye us baat ki daleel hai ki us ilaaqe main allah aur badshah ka koi dushman rahta hai. badshah aur qaazi us ke raazon par matalaa honge. allah taala ki taraf se us par azaab naazil hoga aur jalaane ke baad badshah ki taraf se azaab musllat hoga.

16. jis shakhs ne shaitaan ko masoor o shaadan dekha toh ye daleel hai ki woh shawaat nafsaani main munhik hai. shaitaan ki taabeer kamzor dushman bhi hai.

17. jis shakhs ne dekha ki us ki dushmani shaitaan se hai toh ye us shakhs ke deendar hone ki aur allah ke matee hone ki daleel hai.

18. jis shakhs ne dekha ki shaitaan ne us se apne jism main dakhil kar diya hai ya nigal liya hai toh bahri safar par gaye musaafir ki halaakat ka andesha hai. aur agar musaafir khushki ka safar kar raha hai toh haalat bure hone ka khauf hai. nuqsaan aur takleef laahuq hogi baaz martba shaitaan ko khwab main dekhna daleel hota hai jasooson, chori chhipe raaz haasil karne walon, chughalkhoron aur taanzono ki.

19. jis shakhs ne dekha ki woh saitaan ban gaya hai toh ye shakhs logon ke saath tarash rui ke saath pesh aayega. logon ko azeeyat dene main sabaqat kar lega aur baaz martaba us ki taabeer ye hoti hai ki woh jal kar marega ya deen ke maamle main aazmaish main mubtla hoga aur usi haalat main marega.

iblees al ayeen (shaitaan)

1. khwag main shaitaan ko dekhna sahu wa nasiyan ki alaamat hai.

hikayat : 1. ek shakhs ne hazrat hasan razi allah anah se kaha aye abu saeed iblees sota bhi hai? toh hazrat hasan razi allah anah hans kar farmaya ‘agar woh so jaata toh hamein sakun naseeb ho jaata.

2. khwab main shaitaan ki ruiyyat mandarza zail amur par dalaalat karti hai. badzati aalim, namaz chhodhna, chori, gunah ka kaam karna, daraazi umar, makar, saajish karna, sahar, hasad, zozeen main judaai wagera.

3. kabhi ruiyyate shaitaan irtadaar par dalaalat karti hai us liye ki woh aabad tha lekin apni nafarmani ki wajah se mardood aur allah ki rahmat se maabud hua.

4. aur kabhi us ki taabeer ayese kafir badshah se bhi ki jaati hai jo dariya ke paas rahte hue sawar aur pedal fauz ki tayyari main laga hua ho allah taala ka farman hai “aur hamla kar un par apne ghodhon aur pyadon ke saath”.

5. kisi ne dekha goya woh iblees hua toh us ki taabeer ye hai, ki us ki aankh ko kuch hoga, ya us ki taabeer deen se murtad hone se ki jaayegi, ya lambi zindagi guzarne, ghamgheen hone, aulaad aur maal ki soorat main rizaq milne aur apni shazish wa khudaa ke zareeye dushmanon par ghalba se taabeer ki jaayegi. aur agar sahibe khwab badshahat ki ahliyat rakhta ho toh badshah banega, aur umarbal maaruf wa nahin al maaruf karta rahega.

6. kisi ne dekha ki goya ki us ne iblees ko qatal kiya toh taabeer ye hai ki woh kisi saajish aur faradhi qism ke shakhs ke saath makar karega aur agar sahibe khwab afeef aur nek ho toh taabeer ye hai ki woh allah taala ke ahakam ki perwi karne wala hoga.
Exit mobile version