khwab mein Shahtoot dekhna

Toot (shahtoot)

khwab main sheereen toot khana rozi hai, aur shahtoot yaani lambe lambe siyah khatte shahtoot ka khana gham o andwa hota hai.

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki sheereen toot mausam main khana daleel hai ki usi qadar apne kasab se rozi paega agar khwab toot ke mausam par dekhe toh be mausam se nihaayat aala hai aur agar mausam par nahin hai toh gham o andwa ki daleel hai.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar koi dekhe ki toot sheereen khata daleel hai ki jo un aadmi se mazdoori aur salah aur ataa paega, aur agar khwab main dekhe ki shahtoot lambe lambe kaale aur khatte khaye hain toh daleel hai ki ghamgheen aur fikra mand hoga.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main toot teen wajah par hai. awwal maal, duwwam kasab se munfaat, suwwam aurat ke liye jhagdhna.

toot (shahtoot)

khwab main shahtoot khana kasab waasa aur naafa ki daleel hai

1. kaale shahtoot ki taabeer dananeez aur safed ki bager darahim hai.

2. darakht shatoot sahibe maal waawla mard par dalaalat karta hai.

3. aur kabhi shahtoot deen ki durustagi aur husne yakeen par bhi dalaalat karta hai.
Exit mobile version