Sem, sam chaar paaya jaanwar ka, hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main sem farzand hai agar dekhe ki us ke paas sam hai ya us ko kisi ne diya hai daleel hai ki us ke farzand ke hoga aur agar dekhe ki us ke paas se sam kho gaya hai daleel hai ki us ka farzand gayeg ho gaya ya marega.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main sam gadhe ka maal hai aur agar dekhe ki us ke paas kaien sam hain ya kisi ne us ko diye hain daleel hai ki usi qadar maal haasil karega aur agar dekhe ki us ke paon par sam laga hua tha daleel hai ki us ki umar khushi aur aaraam se guzregi aur agar dekhe ki sam gira hai toh us ki taaweel awwal ke khilaaf hai.