khwab mein Seki Sharab dekhna

Seeki (sarab)

hazrat ibn seereen rahamatullah alayeh ne farmaya hai ki sharab maale haraam hai agar dekhe ki sharab ke darmiyaan gaya hai daleel hai ki fitna main padhega aur agr dekhe ki sharab peeta hai daleel hai ki usi qadar maale haraam paega aur agr dekhe ki sharab pakata hai aur peeta hai. daleel hai ki maale haraam ranje aur mahnat se haasil karega aur agar dekhe ki us ke ghar main bahut si sharab daleel hai ki usi qadar kisaan se nafaa paega.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki sharab milta hai aur peeta hai daleel hai ki maale haraam aur maale halaal mila jula paega aur agar dekhe ki sharab faraukht karta hai daleel hai ki haraam cheez farokht karega aur byaz dega aur sharab peene main kher nahin hai aur haakim ke liye maazuli ki daleel hai aur khajur ki sharab ghamo andwa hai.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main sharab teen wajah par hai. 1. maale haraam 2. nikah karna 3. us jahan ki nemat aur khwab main sharab faraukht karne wala ayesa aadmi hai jo jang aur fitna ka taalib hai.
Exit mobile version