khwab mein Seerhi Dekhna

Nardban (seerhi)

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai. agar koi dekhe ki seerhi se upar gaya hai aur woh seerhi gaare aur eent ki hai toh kher aur salah par daleel hai aur us ka deen zyada hoga aur us ko neki pahunnche gi aur agar seerhi chune aur patthar ki hai daleel hai sangdal aur beraham hoga aur agar lakdi ki toh us ka deen zaeef hoga aur agar dekhe ki seerhi par upar gaya hai. agar chune ki hai toh badshah hoga warna kher aur munfaat paega aur agar dekhe ke zareye se niche aaya hai. toh us ki taaweel awwal ke khilaf hai.

hazrat jaabir magribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main agar dekhe ki seerhi se niche gira hai daleel hai ki martaba aur buzurgi se girega aur us ka nuqsaan hoga.

hazrat zaafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main seerhi maslah aur paarsa mard hai ki dushman par fatah paega aur badkar ke liye mufafaqat hai.

durj (seerhi)

1. khwab main seerhi dekhna asbaab alum wa rifat aur duniya wa aakhirat main kaamyabi ki daleel hai kabhi us ki dalaalat amlaak par aur kabhi astaraaj par hoti hai kabhi uski dalaalat musaafiron ki ayesi manazil aur padhao par hoti hai jahaan woh marhalawar utarte hain aur thaharte hain. aur kabhi zindagi ke dinon par us ki dalaaalat hoti hai.

2. maaruf seerhi ki taabeer ghar ke khadim aur sahibe khaana ke ghulam aur katib se ki jaati hai.

3. kisi mareez ka khwab main kisi majhool seerhi par chadh kar aakhir tak pahunchna aur kisi baala khaana main daakhil hona us ke marne aur markar jannat main dakhil hota hone ki daleel hai.

4. bala khaana main daakhil hone se roka jaana marne ke baad jannat main daakhil hone se roke jaane ki alaamat hai.

5. khwab main seerhi se utarna musaafir ke liye safar se wapis aane ki alaamat hai.

6. raees ke liye ye khwab dekhna riyasat se utar jaane aur amal se maazul hone ki daleel hai.

7. agar ye khwab kisi sawari par safar karne wala dekhe toh daleel hai ki woh pedal safar karega.

8. agar ayesa shakhs khwab dekhe ki ki woh seerhi se utar kar kisi maaruf jagah ya apne ahal ke paas ya apne ghar main utra hai. ya kisi bahut saare bhuse ya jo ke dher ya ayese cheez ke paas utre jo amwale duniya ki alaamat hain toh ki woh apni beemari se shifaa paega aur theek hoga.

9. usi tarah mareez ka seerhi se kisi anjaan jagah ya jaane pahchane mardon ke paas utar aana bhi beemari se theek hone ki alaamat hai. ya sahibe khwab kisi ayese gade ya kunyen main girega jahan sher usko phad denge ya parinde uchak lenge ya kisi kashti main sawar hoga aur kashti besqaabu ho kar ayese naamaalum muqaam par le jaayegi ya ayese sawari se girne ki alaamat hai jis par kajaawa rakha ho

10. seerhi ki dalaalat zindagi aur utrne ki dalaalat mout par hoti hai.

11. sahih aur tandrust shakhs ka seerhi se utar aana uski sarkashi ya kafir hone ki alaamat hai lekin jahan utra hai woh jagah agar muqaame islah hai maslan masjid, sarsab khet, taaza hanwaon wali jagah toh kufra wa taghiyaan se bach jaane aur touba karne ki saaadat haansil hone ki alaamat hai aur jis haalat par hai us se utarne ki daleel hai.

12. makaan salah ki bajaye kisi daraoni jagah maslan seeron ke kuchar ya saanpon ke bilon ke qareeb utrne duniyawi pareshani main mubtala hone ki daleel hai. seerhi ki saakhat ke lihaz se bhi taaber main farq aata hai.

13. kachchi eeinton se bani hui seerhi ki taabeer achchi hai aur pakki eeeinton se bani hui seerhi naapasandeeda hai.

14. baaz ulma ne kaha hai ki mitti aur kachchi eeint se bani hui seerhi ki dalaalat nek aamaal par hoti hai chunancha pahle ziyana ki dalaalat namaz par dusre zeene ki roze par teesre ki zakaat par chouthe ki sadqaa par paanchwe ki haj par chhtte jihaad par aur saatwe zeene ki dalaalat quraan par hoti hai.

15. paki eeint ki seerhi dekhna kher ki alaamat nahin hai.

16. usi tarah khwab dekhne wale ke aatbaar se bhi taabeer main farq aa sakta hai chunancha kisi auhdedaar ke liye mitti ki seerhi deeni pukhtagi ke saath rifaat ki daleel hai.

17. patthar ki bani hui seerhi uske liye fasaade qalb ke saath rifaat ki alaamat hai aur lakdi ki seerhi riya aur nifaaq ke saath rifaat ki daleel hai.

18. sone ki seerhi hakumat khushhaali aur kher pane ki daleel hai.

19. sone ki seerhi zeeniyon ke baqdre naandiyan milne ki bishaat hai.

20. peetal ki seerhi duniyawi mutaa ke hasul ki alaamat hai aur peetal ki seerhi par chadna ayesa faham aur zahan haasil hone ki alaamat hai ki jis se buland martaba pahuchaega aur baaz ulma ki raaye ke mutabiq seerhi ki dalaalat ek zaahid wa aabid shakhs par bhi hoti hai chunancha khwab main uske qareeb jaane wala rifaat aur nek aamaal ki doulat se bahara mand hoga.

21. waali ke liye tamaam zeniyon ki taabeer wilaayat hai kabhi seerhi chadna khatrat ke martakib hone ki alaamat hota hai.

22. seerhi ke zeeniyon par chadne ka dushwar hona kaamon ki dushwari aur aasaan hona kaamon ki aasaani ki daleel hai. imaarat ke saath banaaie hui seerhi amur ki aasaani ki alaamat hai aur larki ki seerhi ka imaarat ke saath bana hona seerhi main tabdeel ho jaana amur main saabit qadam rahne aur jisne kaam ko posheeda rakhana chaahta ho uske posheeda rahne ki daleel hai.

23. seerhi par seerhi chadna zeeniyon ke baqdre umar paane ki alaamat hai aur kabhi seerhiyon ki taabeer jannat ke darkhat se hoti hai.

24. paanch zeeniyon wali seerhi paanchon waqt ki namazon par dalaalat karta hai chunanche un main kami zyadti un namazon main kami zyadati ki alaamat hai.
Exit mobile version