khwab mein Seeng Dekhna

Sarunah (seeng)

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main sab tarah ke seeng nek hain aur sahibe khwab kisi buzurg se kher o munfaat dekhega aur agar maadah gaao ke seeng dekhe daleel hai ki us saal main us ko bahut nafaa hoga agar bahut badhe hain toh bahut zyada nafaa hoga aur agar dekhe ki seeng hawa main latke hue hain daleel hai ki us mulk walon ko kher o munaafat haasil hogi.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar khwab main dekhe ki us ke sar par do seeng hain daleel hai ki kisi buzurg se quwwat paega aur agar sahibe khwab apne sar par bahut se seeng dekhe toh gham o andwa par daleel hai.

hazrat jaafar maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki ek seeng rakhta hai daleel hai ki us ka kaam phir durust hoga aur khushi main umar ghuzarega aur agar dekhe ki logon ko us seeng se marta hai daleel hai ki logon ko badi pahunchayega.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main jangli chaupayon ke seeng kher aur munaafaat par daleel hain aur shahri chaupayon ke seeng us ke khilaf hain.

qaran (seeng)

us ki taabeer quwwat o munfaat hai.

1. jo dekhe ki us ke seeng nikle hue hai toh woh apne dushman par gayeb ayega.

2. badshah ne dekha ki us ke do seeng lage hain toh daleel hai ki woh mashrik o maghrib ka maalik banega aur kabhi seeng ki dalaalat kisi qareebi rishtadaar par bhi hoti hai jis se us ko quwwat o munaafat haasil hogi. kisi ne khwab main dekha ki bail ya kisi aur hyeewan ke seeng ki tarah us ke sar par bhi seeng nikal aaye hain toh ye us ke marne ki alaamat hai aur seeng ki dalaalat masaalon aur aslohon aur un cheezon par bhi hoti hai jis se tahzal akhtiyar kiya jaata hai maslan, maal o aulaad, izzat o jaah wagera.
Exit mobile version