khwab mein Sawari (Rakub ) dekhna

Sawari
Rakub (sawari)

(1) agar kisi ne dekha ki woh chopaaye par sawar ho raha hai toh woh khwahishat par ghalib aaega

(2) aur janwaron par sawari izzat aur ghalba ki nishani hoti hai. lihaaza agar kisi ne dekha ki woh ghode par sawar hona chahata hai lekin sawar nahin ho paa raha toh woh khwahishat ki sawari karega.

(3) aur agar achhi tarah sawar hokar uspar qaabu paliya toh daleel hai woh nijaat paaega.

(4) aur agar dekha ki woh mukammal maslah ho kar sawar huwa aur uske paas khadam wa hasham hon aur ghar ho jo uske ghar ke mushaba hota ya uska apne aaba wa azdaad se taqatawar hona hai. aur izzat wa jaah ki taraf ishaara hai jo usko haasil honge.

(5) aur agar dekha ki woh ek aadmi ki gardan par zabardsti sawar ho gaya toh daleel hai woh margaya aur alamat hai sawarshuda uska janazah zabardsti uthaega.

(6) aur agar woh uski razamandi se sawar huwa toh markub rakib ki mushkat aur uski takleef bardasht karega.

(7) aur baaz ne kaha ki usse murad mushkil kaam matlab karna hai. lihaza agar usko giradiya aur chhodh diya toh ishaara hai ki woh kaam pura nahin hoga.

(8) aur agar ulata toh ye is baat par wiladat karta hai ki woh koi azar qabool nahin karta aur kisi ki nasihat nahin karta aur ye ki zarurat ke waqt peeth pher jaayega ya ye ki woh lawatat karta hai aur haiz ki haalat main beewee ke paas jaata hai.
Exit mobile version