khwab mein Saray dekhna


Hazrat daaniyal alayeh alslaam ne farmaya hai agar khwab main dekhe ki begani saray main hai aur kisi ko nahin pahchanta hai aur wahan par murde hain daleel hai ki woh saray aakhirat hai aur sahibe khwab ki mout qareeb hai.

aur agar dekhe ki wahan jaa kar wapis aaya hai daleel hai ki beemar hoga lekin shifaa paega aur agar dekhe ki maalum saray main gaya aur uski buniyad mitti ki hai daleel hai ki halaal rozi pagega aur agar dekhe ki us ki buniyad choone aur phukhta eent ki hai daleel hai ki maal haram paega aur agar dekhe ki woh saray badi aur farakh hai daleel hai ki us par farakh rozi hogi aur agar chhoti saray dekhe toh us ki taaweel awwal ke khilaaf hai.

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki apni saray ukhadta hai daleel hai ki durust raasta apne upar band karega aur ibaadat na karega aur agar dekhe ki puraani saray ukhadi hai daleel hai ki us par kherat ka darwaza khulega aur agar dekhe ki naie aur paakiza saray hai toh tandrusti aur maan baap ki darazi umar par daleel hai.

hazrat maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki paakiza aur naie saray ke andar hai aur jaanta hai ki us ki mulk hai daleel hai ki uski rozi farakh hogi aur izzat aur martaba paega.

hazrat jaafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki saray ka khwab main dekhna saat wajah par hai

1. mard ke liye aurat aur aurat ke liye khawind

2. dolat

3. aman

4. ayesh

5. maal

6. wilaayat

7. amanat aur izzat

khani (hotel saray wala)

khwab main usko dekhna wada khilafi aur khayanat par dalaalat karta hai aur kabhi mareez ki mout par bhi dalaalat karta hai isliye ki ye musaafir ka ghar hai aur uski rawiyat thakawat ke baad raahat pahunchne ki bhi alaamat hoti hai aur kabhi wahshat ke baad maanusiyat par bhi hoti hai.
Exit mobile version