Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmay hai ki khwab main sandooq aurat hai aur baaz ahal taabeer ne bayan kiya hai ki sandooq khwab main izzat aur martaba hai aur agar dekhe ki badha sandooq us ne khareeda hai ya us ko kisi ne diya hai daleel hai ki us qadar izzat aur martaba paega aur agar dekhe ki us ka sandooq zaaya hua hai ya toota hai daleel hai ki us ka martaba kam hoga.
hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmay hai agar dekhe ki us ke paas pakezah sandooq hai daleel hai ki us ki aurat khubsoorat aur pakizah hogi aur agar purana sandooq dekhe toh us ki taaweel khilaaf hai.
hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main sandooq ka dekhna teen wajah par hai 1. izzat aur martaba 2. qadar aur martatba ki bulandi 3. aurat.
sandooq (baks)
us ki taabeer aurat ya khubsoorat bandi hai. aur sandooq ki dalaalat ghar par bhi hoti hai. aur beewee ya dukaan par bhi dalaalat karta hai aur ghair shaadi shuda ke liye shaadi aur faqeer ke liye ghana hai. aur briefcase safar ya safeer ki daleel hai.