hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main jhanj kalaam balkal aur jhut hai aur agar dekhe ki us ke saamne jhanjh bajate hain daleel hai ki jhut aur batil se khush hoga aur agar dekhe ki jhanj ke saath chang aur chaghna bajate hain toh gham o andwa par daleel hai jo us jagah walon ko pahunchega aur agar dekhe ki jhanjhar toota hai ya us ne gira diya hai daleel hai ki kalaame batil aur jhut se tauba karega.
hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main jhanjhar bajana paanch wajah par hai 1. buri khabar 2. behuda kaam 3. asbaab 4. duniya 5. gham o andwa.
hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main jhanjhar bajana paanch wajah par hai 1. buri khabar 2. behuda kaam 3. asbaab 4. duniya 5. gham o andwa.