khwab mein rashmi kapra dekhna


Kazakand, kachcha resham hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar koi khwab main dekhe ki us ne resham pahna hua hai daleel hai ki aurat karega aur dushmanon par ghalib aayega aur agar ye khwab aurat dekhe daleel hai ki shohar karegi aur us se kher o munafaat haasil karegi.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ne resham ka naya kapda pahna hai daleel hai ki maaldar aur parsa aurat karega aur agar khwab main dekhe ki sabz pahna hai daleel hai ki musleh aur parsa aurat karega aur agar surkh pahna hai toh ayesh parast aurat se shaadi karega siyah hai aurat sahibe khwab qaazi ya khateeb hai toh neki par daleel hai aur agar naya hai toh woh aurat gunahgar hogi aurat agar purana hai toh woh aurat paleeda aur nabkar hogi.

resham baichne wala

khwab main resham baichne wale ko dekhna madarzah jail baaton par dalaalat karta hai daak, mukhbir, molif ul qalub logon main islaah karne wala, ghiar shaadi shuda ki shaadi.

khwab main resham kapde ko dekhna hasoole masarrat ki daleel hai kyon ki us main itne khushnuma rang hote hain jis se insaan farhat haasil karta hai. kabhi us ki dalaalat ayese aalim par bhi hoti hai jo mushkil masaail hal kar de aur gham aur tangi door kar de.

1. agar khwab dekhe ki kisi ko hareer pahna ya toh us se ishq karega.

2. agar kisi ko badshah se hareer mile toh wh takkbur main mubtala hoga.

3. agar mayyat ko hareer pahne dekhe toh achha anjaam ki daleel hai. zard rang aur surkh rang ka resham beemari ki alaamat hai. baaz hazraat kahte hian ki beemari nahin balki jang main murdon ki zeenat hai. agar fuqha hareer nahin toh duniya talbi aur logon ko bidaat ki daawat dene ki taraf ishara hai aur agar ghair fuqha hareer nahin toh ayese aamaal karenge jin ke sabab jannat main jayenge aur duniyawi sardari bhi haasil hogi. hareer pahnna shareef aurat se shaadi aur haseen londi se shab bashi karna hai.
Exit mobile version