1. khwab main aadmi ki izzat aur martaba par dalaalat karta hai jabki woh nai shaukh aur safaid ho agar bareek ho toh ye dekhne wale ke deen main kami ki alaamat hai kyon ki chadar ki taabeer aadmi ka deen aur khwahishat hain.
2. agar sardiyon main pahne hue ho woh khubsoorat banne wala takkbur ki alaamat hai jabki woh faqeer ho.
3. baaz ne kaha hai ki us se muraad ghatiya aurat hai.
4. agar koi mard dekhe toh us ko kam nafaa wala koi kaam pesh aayega.
5. agar dekha ki uski chadar gam ho gai hai ya purani chadar gum ho gai hai toh ishaara hai woh faqar se aman main hoga aur logon par fakhar karega.
6. agar kisi ne dekha ki woh nai imaani chadarein pahne hue hai ya dekha us ke atraaf phate hue hain toh woh kuch hissa quraan majeed ka yaad kar ke bhula deta hoga.
7. agar aurat ne chadar dekhi toh us ka mard us ke saath achha saluk na karta hoga aur chadar mard ki amaanat hai kyon ki woh gardan ke rukh ki jagah hai aur gardan amaanat ki jagah hai.