1. ye insaan ki sardari ki alaamat hai aur us cheez par jo us ki mulk main hai aur sarmaya par dalaalat karta hai
2. agar kisi ne dekha goya us ka sar apne asli haalat se badha hai toh us ki dalaalat uske baap par hoti hai.
3. aur badha sar izzat main zyadati par dalaalat karta hai aur sar ka chhota ho sharafat wa izzat main kami par
4. agar kisi ne dekha ki kus ke do ya teen sar hain toh agar woh jangju hai toh daleel hai apne dushmanon par kaamyabi haasil karega aur agar faqeer hai toh maaldar ho jaega aur agar maaldar hai toh us ke nek aur achhi aulad hogi aur agar kunwara hai toh shaadi karega aur apne pasandeeda cheez paa lega.
5. aur agar kisi ne dekha ki us ka sar barhana hai aur khula hua hai toh woh na farmani karega aur taat se niklega aur agar kisi ne dekha ki woh ulta hua hai toh woh lambi umar paega lekin sakht mushafaqat aur jaddo jahad ke saath harut wa marut ke kisse ki wajah se
6. agar kisi nne dekha ki woh ulte sar wala tedha hai toh woh apni ghaltiyon ka aataraaf karne wala islaah ki taraf tawjjo karne wala hoga us ka ye khwab lambi umar ki khabar de raha hai.
7. aur agar dekha ki majmuaa aam main ya badshah ke saamne sar jhukae hue hai toh alaamat hai ki us se koi gunah hua hoga jis par woh nadim hoga aur touba ka talabgar hoga.
8. aur agar taajir hai toh us ke maal main bahtri hogi
9. aur agar kisi ne apna sar oolta dekha toh ye safar ka irada karne wale ke mutaaliq hai ki koi maana us ko niklne se rok dega aur ye ki jis cheez ka woh irada kar raha hai woh us ko filfur haasil nahin hogi balki kuchh arsa baad haasil hogi
10. aur agar musaafir aur padesh main ho toh daleel hai ye kuchh arsa baad bager kisi kamai wagera ke apne shahar lotega.
11. aur agar kisi ne dekha ki ki us ka sar badha ho gaya hai toh daleel hai ki woh apne qaum main sardari karega.
12. aur agar kisi ne khwab dekha ki us ka sar chauta ho gaya hai toh agar woh aqlmand hai toh jahil ho jaega aur agar aalim hai toh bewakuf ho jaega aur agar auhdedar hai toh alpne auhde se maajul ho jaega.
13. aur gar kisi ne dekha ki us ka sar kaate bager juda ho gaya hai toh agar ghulam hai toh aazad ho gaya warna apne aaqa se juda hoga aur apne muaamle ka khud mukhtar rahega
14. aur sar asal sarmaya par bhi dalaalat karta hai akur kate hue sar maal par dalaalat karta hain aur agar kisi ne dekha ki us ke haath main kisi aadmi ka sar hai toh daleel hai ye ayesi cheez paega jis ki qeemat hazaar deenar dirahm ya dekhne wale ki haalat ke muwaqif hogi aur agar kisi ka sar sher ke sar se badal gaya toh daleel hai ki woh mulk paega
15. aur agar us ka sar kutte, gadhe, ya ghode se badal jaaye toh daleel hai ki woh mushafaqat uthayega aur agar kisi ne dekha ki us ka sar patharon se kuta gaya hai toh ishaara hai woh isha ki namaz se sota hoga.
16. aur agar kisi ne apna sar parinda ke jesa dekha toh woh bahut safaron wala hoga
17. agar koi insaan apne sar ya apni gardan main koi zakhm dekhe ya koi dard wagera toh ye tamaam logon main barabri ki beemari par dalaalat karta hai.
18. aur agar kisi ne apna sar jaanwaron main se kisi ki tarah dekha toh ye mushafaqat thakawat aur zillat par dalaalat karta hai
19. aur agar kisi ne dekha ki us ka sar haathi sher cheeta ya bhedhiye se badal gaya hai toh woh us se zyada hesiyat wale kamon main mashghul hoga aur us se faayeda haasil karega aur hukumrani haasil karega aur dushmano par fatahyabi haasil karega
20. aur agar apna sar dekha ki us par khushbu aur tel laga hua hai toh ye us ki achhi kaawish par dalaalat karta hai
21. aur agar dekha ki bahut se sar us ke haatho kat gae hain toh us ka maani hai ki log us ke mateea ho jaenge
22. aur agar dekha ki woh kisi insaan ka kachcha sar khata hai toh woh kisi raees ki gheebat karta hoga aur daleel hai baaz raeeson se maal leta hoga.
23. aur agar dekhe ki sar ko paka kar kha raha hai toh ye us aadmi ka kal sarmaya hoga agar woh aadmi jaana pachana ho warna ye us ka apne maal hoga jo woh kha raha hai.
24. aur agar dekha ki us ne apne sar pakadh liya hai toh ye maal hai jo us ko haasil hoga jis ki zyada se zyada miqdaar ek deet ka mila aur kam se kam miqdaar hazaar diraham hogi aur ye khwab uske aur kisi ayese shakhs ke darmiyan sulah par bhi dalaalat karta hai jis par qarz ho
25. aur agar kisi ne dekha ki us ka sar bager maare us se alhayeda ho gaya hai us ko apne haath se uthaya toh us ilaaqe se riyasat uske haatho se nikal jaayegi
26. aur agar kisi ne dekha ki us ka sar kat gaya hai aur us ne us ko dobara rakha aur woh phir sahih saalim ho gaya toh daleel hai woh jihaad main qatal kiya jaega
27. aur agar kisi ne dekha ki us ka sar juda ho gaya hai toh agar us ko jamaa kar lega toh deet ke baqdar us ko maal milega aur agar beemar rahe toh tandrust ho jaega aur sarkar ka neez par ya baans wagera par hona buland martaba raees par dalaalat karta hai
28. aur agar kisi ne dekha ki logon main se kisi ka sar ek bartan main hai aur us par khun bhi hai toh alamat hai woh kisi auhdedar ka aadmi hoga jo us par khaluwat main pesh aane wale waqie ke baare main jhut bol raha hoga aur ho sakta hai ki us ko jhut itaat deta rahta ho isliye ki yahan par khun se murad jhut hai aur sar badan ka maaziz tareen hisaa hai toh riyasat par dalaalat karega aur raees har cheez se hota hai jese walid , walida, ustad adab sikhane wala, badshah wagera.
29. ayese hi sar se muraad woh bartan bhi hota hai jis ke donon taraf kunde hon aur tarbuz ya ghulam ke sar wagera par bhi dalaalat karta hai kabhi us se muraad badshah ka qilaa aur us ka khazana bhi hota hai.
30. aur bhi us se muraad jo cheez us par satar kare jese pagdhi, topi, aur jhut bhi hoti hai.
31. aur kabhi us se muraad badshah ke liye taaj aur ladne wale ke liye khud par aur kashti bhi, roshan aasman par taraazu, pemaaish aur jis se cheezen naapi jaaye dalaalat karta hai kyonki ye bamanzila aqal ke hain jo cheezon ki alhada karti hai aur un main tameez karti hai ki usi ke zareeya liya jaata hai aur diya jaata hai
32. aur kabhi sar hamaam aur tanur par uar har us jagah par jahan roshni main bakhar jamaa hota ho kisi bhi muslihat ke liye aur kabhi sar us khema se bhi taabeer hota hai jis ke satoon aur rasiyan shariyat ke saath dhanpi hui hon aur kabhi aalam ka sar us ke ilm par aur kareegar ka sar us ki kareegari par dalaalat karta hai achhi shohrat, zindagi aur maut par bhi dalaalat karta hai
33. aur jis ka sar achha hua ya apni miqdaar se baddha hua aur woh badnazri na karta ho toh ye izzat, bulandi aur rizak par dalaalat karta hai.
34. aur kabhi sar ka badha hona wafir ilm, hukumat aur aqal par dalaalat karta hai
35. aur agar uska sar chhota hua toh ye munsab ke zawal, maal ki kami aur jahaanat main waqia hone par dalaalat karta hai.
36. aur agar khwab main us ke bahut se sar ho gaye toh daleel hai us ki aal aulad hogi ya mufeed alum haasil karega, ya maal wa amlaak aur aulad hogi ya us ki zyada aulad hogi aur uski peth bojhil hogi aur us ka nafaa kam hoga
37. aur jis ne apna sar ghum paaya toh ye sar us par dalaalat karega ya woh ghumon aur pareshaniyon ki kashrat ki wajah se hifaazat se na chalta hoga, aur agar apne haath se sar kata toh apne aap ko buri tadbeer ki wajah se halaakat main dalega, ya itlaa hai ki woh wuzu mukammal na karta hoga ya sajda na karta hoga, ya us ne us aadmi se qataa taalluk kiya hoga jis se qataa taalluk us par shaaq thi, ya apne walid aur aaqa ki khayaanat ki hogi ya un logon ki khayaanat karega jis par woh dalaalat kare.
38. aur jo sar main kuch achhai ya burai pahunche ya chahra, haath, kuhni, paon ya takhna wagera main koi zyadati ya nukas zaahir ho toh ye taharat itmaam wa wuzu wa tayyamum par dalaalat karta hai aur agar kisi ne dekha ki us ka sar us se zaael ho gaya hai toh us se kal sarmaya zaaea ho jaayega jis par us ki zindagi ka madadgar hai aur kabhi woh apne sar ko mundnega ya topi aur amaama garmi main chhodh dega ya kamra gira dega ya apne ghar ki chhat badal dega, aur agar sahibe khwab ghulam hai toh us ka aaqaa us ko bech dega
39. aur agar kisi ne dekha ki us ka sar us ke haath main hai aur woh us ki taraf dekha raha hai toh khwab dekhne wale ka apne kal sarmaya main ghauro tadbeer karne ki daleel hai hai
40. aur agar kisi ne dekha ki us ka sar lejaya gaya hai toh ye beemar hai jo us ko pahunchengi aur agr kisi ne dekha ki us ki gardan maari gaye. aur us se sar juda ho gaya hai toh agar sahibe khwab ghulam ho toh aazad hoga, aur agar ghumada ho toh allah taala us se ghum ko dur kar dengen aur agar maqruz ho toh apna qarz adaa karega, aur ho sakta hai ki woh bahut saaman paega, aur gardan maarne wale ko pahchan liya toh us ke haathon bahut kher paega.
41. aur agar kisi ne dekha ki woh apne sar se baaten kar raha hai toh daleel hai woh bhalae paega aur agar dekha ki logon ke sar shahar, muhlla kisi ke darwaza ya ghar main kate hue par hain toh ye un logon ke sar hain jo wahan hote hain.
42. aur agar dekha ki woh nahin kha raha hai ya kisi ko khila raha hai ya usmain se haddi, ghusht wagera kha raha hai toh ishaara hai woh badhon aur auhdedaron se maal paega.
43. aur agar darindon wagera ke sar dekhe ya chaupaon ke toh ye bhi maal par dalaalat karte hain lekin insaanon ki qeemat se kam maal milta hai.
44. aur agar kisi ne dekha goya ki badshah ya waali us ki gardan maar raha hai toh waali ki taabeer allah taala hai jo ki us ko ghumon se nijaat de rahe hain aur us ke kaamon main madad de raha hain
45. aur agar kisi badshah ne dekha goya ki woh riaaya ki gardne maar raha hai toh ishaara hai woh gunahgaron ko muaaf karta hoga aur un ki gardanon ko aazad karta hoga, ghulamon main gardan ka maarna un ki aazadi par dalaalat karta hai.
46. aur agar kisi ne dekha ki us ki gardan maari jaa rahi hai kisi haakim ke kahne ki wajah se ya daaka ki wajah se ya jang wagera main toh ye us shakhs ke liye majmum khwab hai jis ke waliden aur ladka ho, iliye ki sar wliden se mushbahat rahkta hai aur isliye ki ye zindagi ka sabab hain aur ladki ka bhi mushabah hai soorato shakal ki wajah se aur agar yahi khwab koi dara hua ya qatal ka saza yafta dekhe toh ye achha hai kyonki insaan ko takleefen ek dafaa pahunchti hain lekin ho sakta hai ki us ko dobara bhi pahunche, baqi beton main kaam karne wale aur maldaron main ye khwab un ke maal chale jaane ka ishara hai, musaafiron ke liye wapis lotne aur jhagdhne walon main ghulba ki alaamat hai.
47. aur agar kisi ne apne haath main sar dekha toh ye us ke liye achha jis ki aulad ho aur safar par na nikal sakta ho
48. aur agar dekha ki us ke haathon main us ka sar hai aur us ka apna tabee sar bhi hai toh ye us baat par dalaalat karta hai ki woh un pareshaniyon ka muqabla karega jo us ko ghere hue hain, aur us ka koi ghatiya kaam sahih hojayega jis ki woh tabeer kar raha hai, aur agar badshah ne apne sar main haddi dekhi toh ye us ki saltanat main quwwat aur zyadti ki taraf ishara hai
49. aur agar dekha ki us ka sar mende ka hai toh woh adalo insaaf karta hoga
50. aur agar dekha ki itne ka sar hai toh woh zulm karta hoga aur ruiyyat ke saath berukhi se pesh aata hoga aur agar khwab main insaan ka sar gadhe se badal gaya toh daleel hai ki ye namaz main imaam se pahle apna sar uthata hoga jesa ki hadees main aaya hai ya alaamat hai woh bewaquf jahil banega ya gadhe ka dimag khayega toh us ka dimag kharab ho jaega, bakriyon aur unke alawa woh janwar jinka gosht khaya jaata hai agar dekha ki un main se koi ayesi cheez khareedi jo ki tanwar main daal kar pae jaati hain aur woh mota bhi tha toh daleel hai sahibe khwab kisi achhe ustaj se padega jis se us ko fayeda bhi haasil hoga
51. aur agar dubla ho toh ye ayesa usatd hai jis main koi nafaa nahin
52. aur agar badbudar ho toh ye ayesa ustad hai jo us ke khilaf batein karta hoga
53. aur agar dekha ki woh bakre, bail ya oont ka sar kha raha hai toh daleel hai woh us raees ki gheebat karta hoga jo us ruh ki taraf manoob hota hai aur agar paka hua ya bhuna hua ho toh daleel hai woh raeeson se maal hasil karega ya kisi ka kal sarmaya khajaega jo us ki haasil ki taraf mansub hoga
54. bakri ka sar raas maal par bhi dalaalat karta hai jis ki zyada se zyada mikdaar dus hajaar dirham aur kam az kam ek hazaar dirham hua aur dimag ka khana madfun maal ki taraf ishara hai
55. aur aankhon ka khana ameeron ke maalon ke chasme hain
56. aur agar kisi ne dekha ki woh bakri ke sir paye kharah hai toh woh izzato maal paega aur zyada guman ye hai ki woh meeras ka maal hoga.