Hazrat daniyal alayeh alsalam ne farmaya hai ki haddi aur sar ka maghaz khwab main maal hai jo bataur zakheera rakha hua hai agar dekhe ki saanp aur bichhu us ke bheje ko khate hain daleel hai ki usi qadar logon ka maal khayega.
hazrat ismail ashaat rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main sar ka maghaz dafan kiya hua maal hai agar dekhe ki us ne gunda aur be mazah maghaz khaya hai daleel hai ki us ka maal haraam hai ya us ki zakaat nahin di hai.
hazrat jafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki sab tarah ke maghazon ka khwab main dekhna teen wajah par hai 1. poshida maal 2. aqal 3. sabar.
maghaz
1. uski dalaalat ayese jama shuda maal par hoti hai jo zaahir na ho.
2. khwab dekha ki us ka dimaag bada ho gaya toh ye uske sahibe aqal hone ki daleel hai.
3. kisi ne dekha ki us ka dimaag hi nahin hai toh ye uski jahalat ki daleel hai.
4. khwab main apna dimaag ya baaz guda khana apna maal khane ki alaamat hai.
5. khwab dekha ki us ne kisi insaan ka dimaag kha liya toh sahibe khwab jaldi mar jayega ya us shakhs ka maal le kar khayega.
6. kabhi dimaag ki dalaalat deen par qalbi aatmaad aur raazdaari par bhi hoti hai.