1. khwab main magarmachh dekhna police par daaal hai is liye ki woh dariya ki makhluqaat main sab se zyada shareer hai us se na dushman mamun hai aur na dost aur woh khain aur usi tarah zalim tajir par bhi dalaalat karta hai.
2. kisi ne khwab dekha magarmachh us ko kheench kar paani ki taraf le gaya aur qatal kar diya toh daleel hai ki sahibe khwab police ke haath chadhega aur woh us ka maal cheen kar qatal kar dega.
3. agar woh us se bach gaya toh police ke haath se bhi bach jayega.
4. magarmachh ko khwab main dekhna fasq taharam haraam kamai khauf o haras hawa ki bandish ki wajah se ya dakuon ki wajah main mubtalan hone par dalaalat karta hai.
5. kabhi uski ruiyyat gharq hone ki wajah se umar ke khatma par dalaalat karti hai.
6. magarmachh ko dekhne main koi khair nahin na samandar main aur na khushki main.
7. kabhi us ko samnadar main dekhna zaleel dushman par dalaalat karta hai.
8. agar khwab dekha ki woh magarmachh ko dariya ki taraf kheench raha hai toh daleel hai ki koi shakhs ya badshah us ki napasandigi ke bawajud uske ghar se koi cheez utha lejayega aur agar woh magarmachh ko khushki ki taraf kheench raha hai toh daleel hai ki us par kamiyabi haasil hogi ya tabeer hai ki qarz khwah se nijat payega aur us se us ko maal meelega.
9. khwab main kisi magarmachh ke gosht ka kuch hissa ya us ki khaal ya charbi ya aur hissa badan se mil jaye toh ishara hai ki sahibe khwab ko us ke baqadar dushman ke maal main se hissa meelega.