khwab mein Luqma dekhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki kisi ne shreereen niwala us ke muh main rakha hai daleel hai ki woh shakhs us ko umda baat kahega aur agar woh luqma ghaleez aur tarsh hai toh us ki taaweel awwal ke khilaf hai.

hazrat jabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ke muh main lajeez aur sheereen luqma kisi ne rakha hai agar muslah hai toh maale halaal par daleel hai ki aur agar luqma sheereen garam hai daleel hai ki kisi baat se bala main padega aur agar luqma us ke halq se aasani se gaya hai toh us ki taaweel awwal ke khilaf hai.

hazrat jafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki muh main niwala rakhna teen wajah par hai 1. bosa dena 2. pakiza baat kahna 3. luqma ke andaze ke mutabiq munafaat.
Exit mobile version