Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki lomdi khwab main farebi shakhs ya jhoot bolne wali aurat ya kaneez hai agar dekhe ki lomdi ladti hai daleel hai ki us ka kisi ke saath jhagda hoga aur agar dekhe ki lomdi kudati hai daleel hai ki pariyon se darega aur agar dekhe ki lomdi ke saath khailta hai daleel hai ki koi aurat us ko chahati hai lekin us aurat ki muhabbat kamzor hai.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki woh kisi lomdi ko kanghi se saaf kar raha hai daleel hai ki woh kisi ke saath heela wa fareb karega aur agar dekhe ki lomdi us ke saath chaplusi karti hai daleel hai ki koi par desi aadmi us ke saath makar aur heela karega aur lomdi ka chamda maal hai jo heela se haasil hoga aur khwab main lomdi ka doodh peena beemari se shifa ki daleel hai aur gham wa andwah se shaadi hai aur qaid khana se khulasi hai aur baaz ahale taabeer ne bayan kiya hai ki lomdi ka doodh peena beemari aur khauf par daleel hai.
hazrat jabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki lomdi khwab main jhooti aurat hai agar dekhe ki lomdi us ke ghar main aai hai aur us ne qaraar pakda hai daleel hai ki aashna aurat se shaadi karega aur agar dekhe ki us ne lomdi pakdi hai ya kisi ne us ko di hai daleel hai ki makkar aur jhooti aurat karega aur agar dekhe ki lomdi us se bhagi hai daleel hai ki us ka qarzdaar bhag jayega.
1. khwab main lomdi dekhne ki taabeer qaatil kajjaab farudi qisam ke dushman se ki jaati hai.
2. kisi ne dekha ki woh lomdi se lad raha hai yab usko chhu raha hai toh taabeer hai ki us ko jinnon ki taraf se takleef pahunchegi.
3. kisi ne dekha ki woh lomdi ka gosht kha raha hai ya uske saath ladne ka talab hai toh taabeer hai ki sahibe khwab ko hawa se takleef pahunchegi lekin jaldi theek ho jayega.
4. baaz ne kaha hai lomdi badshah ki taraf se dushman par dalaalat karta hai.
5. kisi ne dekha ki us ne lomdi ko pakad liya toh ye ishara hai ki us ka khasam uski taraf laut kar aayega.
6. kisi ne dekha ki us ne lomdi ke saath pakad kar zibah kar diya toh daleel hai ki woh apne qarz khwah se qarz ke maamle main sulah karega.
7. kisi ne dekha ki woh lomdi ke saath khail raha hai toh daleel hai ki ayesi aurat se nikah kareag jo uske saath muhabbat karegi aur ye us se muhabbat karega aur allah taala uski aankhein thandi karega.
8. baaz ulma lomdi ki taabeer nujumi atbaa ahale tadbeer aur ahale khabas se bhi karte hain.
9. khwab main lomdi qatal karna muajjaz aur shareef paane ki daleel hai.
10. kisi ne lomdi dekhi toih daleel hai ki sahibe khwab kisi shareef aadmi ya kisi shareef o muajjaz aurat ko dekhega ya uski taabeer ayesa mard hai jese dhoka dahi ki aadat ho aur woh sahibe khwab se khushamad ka maamla karega.
11. kabhi lomdi ek majhool ghair maaruf dushman par bhi dalaalat karti hai jo shadeed makkar aur ghaflat ke moqaa se faaida uthayega.
12. baaz dafaa us ka itlaaq frudi aurat par bhi hota hai.
13. kisi ne dekha ki woh lomdi se makar o fared kar raha hai toh daleel hai ki sahibe khwab bahut jhoot bolne wala sharaa hai yahi taabeer khwab lomdi ko ahsan jaza dene ki bhi hai.
14. kisi ne dekha ki mushriq taa maghrib lomdi se bhar gaya hai toh daleel hai us zamane main sahar saajishein aur heele bahut zyada honge.
15. khwab main lomdi se munafaat wa jhagadna kisi rishtedaar ke saath jhagda karne ki daleel hai.
16. khwab main lomdi talaash karna hawa ki wajah se beemari main mubtala hone ki nishaani hai.
17. kisi ne dekha ki lomdi uske talaash main hai toh taabeer hai ki jin ya insaan ki taraf se usko takleef o khauf pahunchega.
18. khwab main lomdi ka uske dar se bhag jaana qarz daar ke makar karne ki taraf ishara hai.
19. kisi ne dekha ki woh lomdi se mala abat kar raha hai aur lomdi ne uske aala tanasul ko nigal liya hai toh ye uski beewi ke zina karne ki daleel hai.
20. khwab main lomdi ki khal main se kuch hissa mil jana daleel kamiyabi wa kaamrani hai kabhi usi khwab ki taabeer aurat ki taraf se meeras milne se bhi ki jaati hai.
21. khwab main lomdi ka doodh peena mareez ke liye marz se chutkara aur sahibe gham ke liye gham se nijaat ki daleel hai.
22. baaz ulma e taabeer ki raay ye hai lomdi dekhna maali wajaani nuqsaan ki daleel hai.
23. baaz dafaa lomdi ki ruiyyat ghair shaadi shuda ke liye shaadi ki daleel hai.