Hazrat ibn seereen rahmatullah alayehn ne farmaya hai ki khwab main labada dekhna neki aur deen ki paidaari hai khas kar agar sabz hai agar dekhe ki us ke paas samoor ya sanjaab ka labada hai daleel hai ki dayanat daar mard ki panah main ayega.
hazrat jabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ke paas sabz labada hai daleel hai ki us ko ba amanat shakhs se nifaa pahunchega aur agar surkh pahna hua hai daleel hai ki woh koi andwah aur museebat payega aur agar safed hai toh muslah aur tawangir shakhs se nafaa payega aur agar zard hai toh beemari par daleel hai aur agar neele rang ka pahna hua hai toh gham o andwah par daleel hai ki agar siyah pahna hua hai aur sahibe khwab qazi ya khateeb hai daleel hai ki khair o neki payega aur agar qazi aur khateeb nahin hai toh nuqsaan aur be hurmati par daleel hai.
hazrat ismail ashaat rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki resham ka labada murdon ke liye nuqsaan ki daleel hai aurton ke liye khushi hai aur anbabi rang ka labada murdon ke liye nek hai aur safed farakh khair aur neki par daleel hai aur khwab main tang labada nuqsaan maal par daleel hai.
hazrat jafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki sooti labada murdon aur aurton ke liye nek hai aur khwab main labada chaar wajah par hai 1. aurtein 2. amanat daari 3. kaamon ki durusti 4. khair o munafaat.