laveed taanbe ka bada degcha khwab main ghar ka khidmat gaar hai jis ki asal eeisai hai agar dekhe ki us ke haath main naya aur bada deg hai daleel hai ki us ka khadim bil amanat hoga aur agar purana aur maila aur jhoota hai toh us ki taaweel khilaaf hai aur agar dekhe ki bada deg gir kar toota hai daleel hai ki khadim marega.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ke bade deg main surakh hai daleel hia ki us ka khadim beemar hoga aur agar saaf paani se par dekhe toh daleel hai ki khidmat gaar se us ko faaida hoga aur agar bada deg khane ki cheezan se par dekhe daleel hai ki usi qadar khair o munafaat payega aur agar dekhe deg main se us ne un cheezon ko khaya hai daleel hai ki us ko khidmat gaar se khair aur munafaat haasil hogi.