Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar koi khwab main dekhe ki us ne kisi ko laat maari hai daleel hai ki us se ya us ke khaweeshon se us ko nuqsaan pahunchega aur agar dekhe ki us ko ghode ne laat maari hai toh daleel hai ki us ke martabe aur buzurgi main nuqsaan zaahir hoga aur baaz ahale taabeer ne bayan kiya hai ki sahibe khwab fasaad main mashgool hoga.
hazrat jabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ko aurat ne laat maari hai daleel hai ki aurat ki wajah se andwah gahein hoga aur agar dekhe ki moti budhiyan ne laat maari hai daleel hai ki us ka maal talf hoga aur agar dekhe ki us ko oont ne laat maari hai daleel hai ki kisi ne bade aadmi se us ko nuqsaan pahunchega aur agar dekhe ki us ko bail ne laat maari hai daleel hai ki us ko us saal main nuqsaan pahunchega.
hazrat jaafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main laat marna chaar wajah par hai 1. nuqsaan 2. maazrat 3. gham wa andwah 4. ayaal ka fasaad.