Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar khwab main dekhe ki kisi se kushti ki hai aur us ko agar aaya hai daleel hai ki us ka haal nek hoga aur us par ghalib aayega aur agar dekhe ki khud gira hai toh us ki taaweel awwal ke khilaf hai aur agar kashti main daunon qaaim rahe hon toh daunon ka haal kher aur shar main musawi hai lekin bazahir har ek dusre se muhabbat karenge.
1. jis shakhs ne dekha ki kisi aadmi ne use pachad diya hai toh daleel hai woh us ke maal ko talf karega aur yahi khwab main zameen par gira hua maghloob shakhs baidaari main ghalib aayega.
2. khwab main jang ke khwah hushmandar dau badshahon ki aapas ki kushti main maghloob baidaari main ghalib hoga aur yahi taabeer khasam ki aapas main kushti ya mukhasimat karne ki hai (yaani khwab main maghloob bait baidaari main ghalibiyat ki daleel hai).
3. kabhi kisi daleel hai ki wajah se khwab main ghalib aane wale ki biadaari main bhi ghalib aane par dalaalat hoti hai maslan khwab main ghalib aane wala nai kapda pahane hue hua aur maghloob phante purane kapde pahne hue hua aur agar libas ke aatbaar se toh barabar hain magar ghalib aane wale ka qad maghloob hone wale ke qad se badha hua hai ya us ka jism maghloob ke jism se mota hua hai aur maghloob ka jism chhota hai ya us ke badan main koi naqs waqe hua hai ya us ka rang peela padh gaya hai (toh daleel hai ki khwab main ghalib hi baidaari main ghalib hoga)
4. kabhi daleel ke baghair bhi khwab main ghalib aane wala baidaari main bhi ghalib hoga kyon ki basa awqaat khwab sareeh bhi hua karte hain.
5. agar kushti karne walon ki jins mukhtalif ho aur pachhade jaane wale ke muqable main taaqatwar ho tab bhi yahi taabeer hogi.
6. khwab dekha ki dau aadmi aapas main kushti lad rahe hain toh un main se pachhada jaane wala pachhadne wale se afzal hoga.
7. kisi aurat ne khwab dekha ki rasool allah sallallahu alayehi wasallam us ke saath kushti lad kar us ko gira kar us ke seene par beth gaye hain toh taabeer hai us ke shohar ka inteqaal hoga aur us aurat ka kisi dusre shakhs se nikah hoga.
8. kabhi kushti ladna maghloob hone wale ke mareez hone par bhi dalaalat karta hai aur kabhi ye khwab mareez ko marz se aafiyat pahunchne par bhi dalaalat karta hai magar insaanon main aksar ye maut ki daleel hota hai.
9. khwab main kisi hewaan se kushti lad kar us ko qatal karna mushkil se bach nikalne par dalaalat karta hai.
10. kisi musalman mulk ke kafir bashinde ke saath kushti karna dushmanon par ghalib aane ki alaamat hai.