khwab mein Kulhari dekhna


1. khwab main kulhari dekhne ki dalaalat aanat aur rizaq par hoti hai kabhi sar ke dard ke zaail hone ya gardan main pachhna lagane ki zarooarat padne par us ki dalaalat hoti hai is liye ki faas us haddi ko bhi kaha jaata hai jo gardan main ubhri hui hai aur kabhi kuhari ayese mareez par dalaalat karti hai jo apne shikayat door karne main khane ka mohtaj na ho kulhari ki taabeer ladka bhi hai.

2. agar kisi ne khwab main apne haath main kulhari dekhi toh woh wakeel ya wasi ya amanat daar hoga apna deen durust karega aur apne dushmanon par ghalba payega baaz maabreen ne kaha hai ki kulhari maazrat aur tafreeq ki daleel hai aur khwab main kulhari khadim mard ki quwat ki daleel hai aur kabhi kulhari ki taabeer nafaa dene wali cheez se ki jaati hai is liye ki kulhari lohe se bani hoti hai baaz maabreen ne kaha hai ki kulhari dekhna bete ki daleel hai aur baaz ne kaha ki kulhari amanat aur deen main quwat ki alaamat hai.
Exit mobile version