khwab mein Kora Khana


1. kuda khana ki taabeer duniya hai aur gobar leed waghaira par maal par dalaalat karte hai.

2. chunancha jo shakhs khud ko kude khana par dekhe ya us ko khareede ya us ka waris bane aur woh mareez ya khaaif ho toh nijaat hogi ya faqar ke baad mustaghna hoga ya phir wiraasat haasil hogi agar ghair shaadi shuda hai toh shaadi hogi badshah ke liye kuda khana us ka bait ul maal hai.

3. agar kuda khana ke oopar barhana hua hai aur woh wali hai toh maazul hoga mareez hai toh wafaat payega maaaldaar hai toh faqeer wa zaahid hoga.
Exit mobile version