khwab mein Khodna dekhna


1. kisi ne khwab dekha ki woh zameen khod raha hai aur us se khushk mitti nikal rahi hai toh daleel hai khodne aur mitti ki miqdaar ke mutaabiq maal milega aur khodte waqt tar mitti nikalna daleel hai ki sahibe khwab kisi ka maal saajish ke zariye haasil karne ki koshish karega magar us main us ko kamiyabi hogi aur mitti ki tari ki baqadar mashakkat main mubtala hoga.

2. khodne ki taabeer sajish karne aur fraud karne se ki jaati hai kabhi uski dalaalat khodne wale ke qatal par bhi hoti hai.

3. koi mareez ya ayesa shakhs jis ke haan koi mareez ho khwab main zameen khode aur us se mitti nikale toh ye sahibe khwab ya us mareez ke marne ki daleel hai.

4. khodna us ki qabar ki taraf ishara hai.

5. agar musaafir ye khwab dekhe toh ye khodna us ke safar aur us se nikali gai mitti us ki kamai ki alaamat hai.

6. kisi ne khwab dekha ki woh gaddha ya kunwan ya naali khod raha hai aur us khodne se apne liye paani nikalna maqsood hai toh ye us ki khaas khaas maashiyat par dalaaalat karta hai.

7. khodne ke baad paani jaari hona maashiyat main paichidgi ki daleel hai.

8. khwab main kisi ke liye gddha khodna us ke saath sajish karne ki daleel hai.

9. gaddha khodne ke baad khud us main daakhil hona khud sajish ka shikaar hone ki daleel hai aur jis ke liye sajish ki hai us ke bachne ki alaamat hai.

10. khwab main apne aap ko kisi gaddhe main dekhna apni beewee ko talaaq dene ka ishara hai.

11. khwab main apne aap ko gaddhe ke dahane par dekha aur us main utra nahin toh daleel hai ki apne mukhalif ke saath sulah karega.

12. beemar ya qaidi ka khwab main gaddhe se bahar aana tandrusti aur qaid se chhutkara ki daleel hai.

13. kisi ne khwab dekha ki woh kisi gaddhe main ghaaib ho gaya aur bahar nikalne ki koi jagah nahin mil rahi toh daleel hai ki sahibe khwab gaddhe ki gahrai wa wasaat ki baqadar kisi sajish main phansega.

14. khwab main gaddhe main gir kar us se takleef ke liye kisi se faryad karna aur kisi ka us ki madad ke liye na aana daleel hai wahi gaddha us ki qabar hai. gaddhon ki dalaalat safar qareeb par hoti hai aur us ki dalaalat sajish ki jagahon par bhi hoti hai haroof main mutahid hone ki wajah se hafrat (gaddhe) ki dalaalat harfat par bhi (pesha) par bhi hoti hai aur kabhi gaddhe ki dalaalat be pardah chalne phirne wali faqeer qism ki aurat par bhi hai aur kabhi us ki dalaalat khauf se maamun hone aur masaaib se chhutkara paane par hoti hai khasusan us shakhs ke liye jo khwab main us ke andar dushman se chhinne ki gharz se dakhil hue.

15. khwab main gaddhe ke andar bahtareen qism ke khane ki cheezein ya sheereen paani ya pardah poshiposhi ka saaman paana ayese rizaq ke hasool ki daleel hai jo us ke waham guman main bhi na ho neez ye khwab apne saath makar karne wale ke saath sulah karne ki daleel hai.
Exit mobile version